Monday, August 22, 2011

Har waqt k sath badal rahe hain hum.......

har waqt k sath badal rahe hain hum
teri aashiqui ko bhul rahe hain hum
jeena ho rah hai mushkil tumbin har lamha
ki ab har lamhe k sath marhoom ho rahe hai hum...

har mujassme mein tera he aks hai
meri negahoon mein toh teri mohabat ka he noor hai
zindagi us morh par le aae hai hume
ki ab toh tere bin har ek saas bhi betaasir hai.....

har yaad se dorr bhagte rehte hain hum
apne sayae se he ghabrate hain hum
kahin koi yaad na reh jae is dil mein
islyie bina dhadkano k jina sikh rahe hain hum.......
.

Friday, August 12, 2011

WOH GUZARE HUE LAMHE..... WOH BEETE HUE DIN.......

aaj akele is kamre mein barish ko dekh
woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhiaankho mein asu le aatein hain...

har lamha jo bitaya hai 2m log k sath
aaj woh lamhe yaadein aate hain
kaise bayan kare afsane dosti k.......
ki yeh lafzo mein nahi aankon se bayan hote hain
jab dekha tha 2me pehli bar
woh nazare yaadein aatein hain..
aaj bhi log pagal kehte hain husta hua dekh mujhe
kaise kahu ki mujhe toh mere dost k baatein yaad aatein hain......
kabhi laga na tha itne kareeb ho jaenge
kaise sumjhe is dil ko hum
lakh duayein kar le magar
ab mushkil se he sath beth paenge hum....
woh choti c baat p ek ka naraz hona
ek ko sumjhane k chakar mein sab ka rooth jana
abhi ek peher bhi na bita tha
ki mobile pe sorry k msg ki barsat aa jana.....

aaj akele is kamre mein barish ko dekh
woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhiaankho mein asu le aatein hain...



har sham ko cricket ki tayareian karna
subah se he sab ko yaad dilate rehna
bus ek bat or ball le kar medan mein utrna
na khel aate hue bhi zamane bhar ko harate rehna.....
balling k liye har koi marta tha
baat aati batting ki toh
har koi ek dusre ko kosta tha......
keepering k liye ladte the hum
ho agar baller sandy ya desai toh darte the hum
jab baat aati batting ki toh
adi or santosh se bhi kabhi-kabhi darte the hum
ho jab saurav ya sanjeeb gusa toh ground chor bagte the hum
BUS ek sutta pila kar baat ko suljhate the hum......


aaj akele is kamre mein barish ko dekh
woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhiaankho mein asu le aatein hain...



rooz collg mein late se jana
teacher agar puche to roz ek naya bahana.....
ese toh har koi alag tha
par baat aati jab koi pareshani ya kaam ki
sab koi ek sath hota tha.....
har kaam ko asani se karte the hum
ho agar koi lafda toh use bhi dekh lete the hum
kehne ko toh sab normal the hum
par apne branch k badshah the hum.....
har choti c baat ko njoy karte the
ho koi aasu toh use bhi
muskurahat mein tabdil kar dete the.....

woh har brthdy celebrate karna
na sur taal k woh brthdy song gana
har cake khane k baad
har kisi ka roshan baaba ka goon-gaan gaana......
woh choclate bhi yaad aata hai
jo har kisi ko bikhari banata tha
ek hath mein hote hue bhi
dusre k liye har koi bacha ban jata tha.......


aaj akele is kamre mein barish ko dekh
woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhi aankho mein asu le aatein hain.....



woh xam ka time jab aata tha
xerox center wala bhi pareshan ho jata tha
mini-mini kar k har koi shor machata tha
teacher jab pakde toh apna nahi, har koi dusre ka bata ta tha
dekh shivam-shatanu ko har teacher pareshan ho jata tha
woh natesh or ishaan ko late aata dekh har koi hasta tha......
xam chor hum kabhi photo session kiya karte the
nahi toh use bhi kabhi chor, dekh kisi ko aanhe bhara karte the
likhte dekh anin or deep ko hum ghabra jate the
6 mein se bus 2 solve karte the
koi-koi toh 6 solve karne p bhi tension lete the......

bahar nikal apni mahanta bayan karte the
waise xam dene k baad bhi hectic ho jate the
tension hatane sab gopi k yaha bagte the
2-2 rupiye jor kar kabhi, ek sutta liya karte the
bus us ek sutte se he sab kush ho liya karte the.....
result k din apna chor dost ka pehle dekhte the
ho sab thik toh din mein sab k sath njoy karte the
nahi toh mehkhane mein jaa k roo liya karte the
or hua toh aate waqt kisi ko thok bhi diya karte the.....

aaj akele is kamre mein barish ko dekh
woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhi aankho mein asu le aatein hain...


chai-chai bol k woh teacher ko pareshna karna
woh kam lage toh, paper ka plane udana
har kisi ka last bench p apna dj chalana
toh kisi ka grnl cpmlete karna....
ho koi maal teacher toh uska photo lena
baat-baat mein use apne pass bulana
us mein bhi maan na lage toh
dur beth apni chahhat ko niharte rehna.......
har koi chupke se kisi ki tasver leta tha
toh koi studies mein he mashroof rehta tha
kitna mushkil tha kisi ka kisi se kehna
mat jao chor k ki, ab mushkil hai 2m bin rehna.......

mausam badle ya semster badle
par ishaan ka wahi slippers mein aana
woh bikram k bhi andas nerale
kisi-kisi viva mein beer pe k aana.....
jab har koi tension leta tha
abhik apne jhokes se sab ko hasata tha
practical bhi mast dete the
apna chor dost ka reading likhte the.....
koi kuch bhi bole hume na sunna tha
hume toh bus sabke sath rehna tha
sab me common baat yahi thi ki
har kisi ko kisi k dil mein rehna tha.....


woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhi aankho mein asu le aatein hain...


bhale koi kitna bhi shareef dikhta tha
but uske pass bhi ek toh reliance wala phone rehta tha
rakhte the sab apne status single but
har koi kisi n kisi se mohabat karta tha.....
woh raat bhar party karna
toh kabhi santosh ka har waqt 29 k liye challange karna
motka sab mein perfect tha jaise
c2 k her accident hote he just l2 ka phone aana.....
adi dikhne mein lagta tha kam hai
par jab baat aati f.b ki
toh sab kehte the BHAI AADMI MEIN DUM HAI......
har ganesh chaturthi p potesh k yaha jaana
or motke ko phasa k uska video banana
namoomkin hai bina darr k rehna
jaise i.t ko bina pandey k pora kehna.......
in badsah ki badshai toh dekhye
jab aate toh khamoshi cha jati thi
sab ko kehte DUM HAI TOH HUMARE SAMNE BOLYIE
par yeh c king k samne kisi k nahi chalti thi.....


woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhi aankho mein asu le aatein hain...



har shaam jab sab k dil maaues hote the
khud se he sab dinshaw pahuchte the
yaad aate hain aaj bhi woh din
jab arpit sir or freak group humare sath hote the......
woh har kisi ka sami k ghar jaana
adorable dolce ki pyari aadein dekhna
or fir kabhi jao toh
woh dolce ka pyar se hume recieve karna......
har festival sath mein celebrate karte the
roshan baba k new-new avtar dekha karte the
kuch toh baat thi unme
jo har kisi p jaan chidkate the.....
woh cristmas p church jaana
toh saraswati puja p pandal lagana
har visarjan mein yahi hota tha
humko toh dusre k kadpde fadna hota tha.......

milne ka kisi se banate the har roz koi bahana
nit garden ya chahe pade futala jaana............
agar kam lagte the yeh sath me rehne k pal
dekh sab sumjhte the humare mangemnt guru har pal
kabhi trip toh kabhi leeti jaise evnt rakte the
kuch bhi karke hasin pal diya karte the.........
barish mein woh driving p jaana
woh saurav k har shot p ambajhari ka sultan bulana
ho jab baat techi ki
dekh pritam or sanjeeb ko sab ka kehna
woh dekho gadget ka dewana.......


aaj akele is kamre mein barish ko dekh
woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhi aankho mein asu le aatein hain.....



aakhri saal he sab kyun hota hai
koi bahot pass toh koi bahot durr ho jata hai
cha k bhi sath mein nahi rakh sakte kisi ko
dusre k jaisa kyun nahi hai apna naseeb
jaate jaate har koi yahi kyun kehta hai.....
hai yakeen zindagi fir woh morh laegi
mujhe mere yaar se zaroor milwaegi
jo hua use badal toh nai sakta mai
par tere bina woh wali kushi kabhi nai aaegi.....
chata hun le chalu tujhe mein kahin dur
jaha na koi bandisho se ho tu majboor
par yeh cheez shayad is zindagi mein mumkin nahi
kabhi zuban toh kabhi wadoo se hai hum majboor......
bus ek baat kehta hun mere dosto..
rahoge gaye selfish toh kush rahoge
kiye jo kisi p zada bharosa toh kub faso gaye
na karna kabhi kisi se sachi mohabat
warna baad mein beta, uske jane p har rozz maro gaye......

ab toh dusro ki tarah har pal aage badna hai
ab toh hume aap k bager he rehna hai
har tasveer bus yeh yaad dilati hai
woh mehjabeen ladki fir na milegi..
kambaqt har cheez bus yeh ehsas krati hai....
 


bhulte jaenge hum sab kuch din p din
par hai koi jise yaad karenge har lamha har din
jee lo apni mohabat k sath har pal
kyun ki yeh sab jante hain ki laut ke na aaenge


WOH GUZARE HUE LAMHE....... WOH BEETE HUE DIN.......

Thursday, August 4, 2011

you taught me how to care, you taught me to be kind,
you showed me how to like someone,
you showed me how to love. But there’s one thing
you didn’t teach me and it really hurts more.
You didn’t teach me how to let you go....