Thursday, September 8, 2011

aaj fir itne muddat ke baad....



un ki zulfon k saye mein yeh zindagi guzarne ko jee chata hai
un aankho mein humesha k liye doob jane ko jee jata hai
woh bachpana unka, woh nazakat, woh shararat...
aaj fir itne muddat ke baad
unki zuban se apna naam sunne ko jee chata hai.....

majlish-e-zamane se rubaru hone ko jee chata hai

par hujoom mein bhi bus woh he chehra yeh dil talaash karta hai
zamane bhar ki aankho se guzarte hain hum
lakin jo un aankhon mein mila, woh abhi tak talash karte hain hum..

woh batoon se he dil me utarna unka

woh naadani se roothna unka..
un aab-e-talkh k bare mein kya kahin,
jine dekh farishte bhi, kuch bhi karne ke liye kahin....

woh teri muskan, jinke liye kuch bhi kar jau main

woh teri saadahgi, jo kisi aur mein na dekh pau main..
har guzarte lamhe k sath rooh mein utar jana tera
toh woh zuban pe har lamha naam aana tera....

aaj fir itne muddat ke baad

unki zuban se apna naam sunne ko jee chata hai.....



meri har bhul ko woh pyar se saheeh karna tera

toh kabhi pyaar se us bhul pe maarna tera..
aaj is mehfil mein beth k bhi yaad aata hai
woh mujh pe kabhi-kabhi hukum chalna tera...

un galtiyon pe mujhe pe chillana tera

toh kabhi late aane pe pyar se CHOLY bolna tera
har mushkil mein mere sath rehna tera
or woh hardam mujhpe nazar rakhna tera...

kabhi yeh sab yaad kar soachta hun main

ki waqt k sath kitna khud ko badalu main
kuch bhi kar jau Haqeeqat badal nahi sakta
ki in baaton ko bhul k kaise jee paunga main...


aaj, un ki zulfon k saye mein yeh zindagi guzarne ko jee chata hai

un aankho mein humesha k liye doob jane ko jee jata hai
aaj fir itne muddat ke baad..
unki zuban se apna naam sunne ko jee chata hai.....

Saturday, September 3, 2011

Har saye mein tera he aks nazar aa rha hai...

Har saye mein tera he aks nazar aa rha hai,
na jane khuda mujh pe kaisa sitam dhaa rha hai...
dhadkano ko kya kahu,
in sitaro mein bhi tera naam dikh rha hai...

Har muskan k peche teri yaad chupi hai,
dil ki har ek dhadkan bus ek baat keh rahi hai..
na jane kab sikhange jina tumre bin,
ki har dua bus yahi talab kar rahi hai...

teri chahat ka hai jo jonoon, kisi or kaam mein nahi,,
us muskan mein woh baat hai, jo kisi aawe-shabab mein nahi...
tamaam koshisho se jo jhute na woh nasha,,
woh teri aankho mein hai, mehkhane k kisi jaam mein nahi...