yunhe waqt guzar jaega hai koi yaad jo dil mein kahin dafan ho jaega jo khawish hai aaj, woh toh bus seene mein ek khawab ke tarah reh jaega..
ek khawab lagta hai woh bita hua kal jo jiya hai maine tere sang har ek pal sumbhal ke rakha hai un yaadon, ki un yaadon ke sahare he toh jina hai mujhe ab saare pal..
ek pal laga ki tu mera ho jaega yeh gum bhi tere aane se dorr ho jaega jo jaoge meri zindagi se na jane kaise yeh dil reh paega..
yun teri chahat kabhi kam na hogie zindagi mein kahin teri humesha kami hogie har woh mumkin koshish kush rehne ki hogie par, phir bhi tera bina woh kushi kabhi na hogie..
yeh tasvire he mera sahara hai ki inme mein har pal tujhe apne sath paya hai dekh inhe ek sawal zahen mein aya hai kya kabhi kisi ne apni mohabat ko haqeeqat mein paya hai..
yun na jao meri zindagi se is kadar kahan jaunga is duniya mein tere begair kahin bhi jaun bus ek sawal sataega ki kya tu mere bina yun kush reh paega....
yeh gustakh nazare hain jo kabhi manti nahi hain na chahte hue bhi unki tasveer dekha karti hain jo sumjhau, ki tasveer dekhne se kya hoga ek askh samne laa kar yeh puchti hain- KYA ISKE BINA, TERA JEENA HOGA..
kuch baatein nazaroon se kahin hai kuch baatein dil mein dabi hai chaha tha har baat izhaar karo par yeh bhul gaya tha ki, meri kismat mere sath nahi hai..
yun guzarte hue waqt ke sath meri yaad tere dil se chale jaegie kuch baatein hain meri jo tere aks ke sath jor jaegie sab bhul kar bus yunhe muskurate rehna ki har din muskurata hua dekh tujhe, meri rooh kush ho jaegie..
yeh gustakh nazare hain jo kabhi manti nahi hain.....
na jane kya hai tujhme jo, har lamhe ke sath utar rha rooh mein chah ke bhi dorr nai kar paa rha tujhe soachne pe lage, zindagi chor rahi mujhe
us awaz ko sun kar zinda hun main har waqt sunne ko betaab hun main yeh toh bus kuch din ka sahara hai jo ho jaoge kisi ke, toh na jane kya karunga main
woh teri khamoshi mein bhi mujhe sukoon mile woh saanse soonkar, yeh meri dhadkan chale zarorat nahi mujhe tere kisi alfaz ki woh teri mojudagi ke ehsas se, ek alag se duniya lage...