jine chor aae hain zindagi ke us modh par na jane kyun un talashe yeh nigahen dar-bdar kon sumjhe is nadaan dil ko ki, ab toh hai woh kisi aur ka humsafar har chehre main talashe usi ko har baaton mein bas sunne usi ko itne zharf tak hain seene mein woh ki yeh nazarne na dekhe aur kisi ko maan zindagi ki sachi aage chale hain na jane kyun yeh dil dhadkne se dare hai kahe zamana ki zindagi ko ek aur moka do par na jane kyun yeh dil usi zamane se he dare hai waqt ke sehre mein zindagi ek morh pe aaie jaan jise laga ki, ho sakta hai yeh mera humrahi yun toh ek lamha bhi na beta tha maloom hua, ki WOH TOH HAI KISI AUR KA MAHI.......
kaash hum kabhi unse yun na mile hote kaash dekh unki neki, hum khud ko na badle hote kaash us waqt ko wahin rok dete, jab hum sath the kaash hum zahir kar diye rehte, ki aap humare liye kitne khas the kaash tum par yakeen kar hum, kuch baatein na bole hote kaash thoda toh tum mujhe aur sumjhe hote kaash mujhe kabhi pata na chalta tumhe paake khone ka ehsaas kaash tumhe hi hote har waqt mere aas paas kaash kuch sach....sach na hote kaash wo lamhe ham kabhi na khote kaash zindagi ke un palon ko tham sakta kaash waqt ki sui aise na badti kaash tu bhi mere dil ke jasbaat sumjhta kaash main bhi kabhi tujhe bhula paaun, aur aisa na ho toh kaash teri baahon mein main hamesha ke liye so jaaun KAASH.............
woh kehte hain, na jane kyun hume unse mohabat hai kon sumjhaye ki unpe toh khuda ki azmat hai nadaan hain woh jo nahi sumjhte ki ab toh hume is MOHABBAT alfaaz se he nafrat hai.......