Sunday, February 7, 2016

jab dhundegie nazare hume aur na aaaegie meri koi khabar...


chahhat ke aasre mein, main ek sarai pe ther gaya
mujh ko thi na khabar main, main is waqt mein kha ruk gaya
itne saalo mein yeh guzara hai wqat is tarah
ki namm aakhein liye main, main aaj kha nikal gaya

dorr kare ke har ek jasbaat jia hun main is kadar
jaise thi na mujhe kisi ki aarzo na kisi ki fikar
hai aaega woh bhi ek manazar
jab dhundegie nazare hume aur na aaaegie meri koi khabar...