Monday, September 9, 2013

shishe pe girti yeh baarish ki bunde aaj ek nagma sunae



shishe pe girti yeh baarish ki bunde aaj ek nagma sunae
tip-tip ki awaz mein dheme-dheme kuch toh gun-gunae
hum toh bus muskura kar sunte rhe
ki, woh nagme mujhe aaj kisi ki yaad dilaye

yeh dhema-dhema se filsta pani
na jane kitne dilo ka fasana sunnaye
sun kar jise aankho mein aaje pani
sath-sath apne, na jane hume kyun rulaye

aasman mein dil ka haal dikhta hai
dil ke jaisa he sab bikhra sa dikhta hai
itne muddat ke baad bhi
unhi ka chehra un badlon mein dikhta hai........

jo barso se dil mein base the woh hazoor...



jo barso se dil mein base the woh hazoor
ki isme kisi aur ko rakhne ki takat kaha bache hai ab
jis mohabat ki shiddat pe tha ise jo itna guroor
uske jaane ke baad, isme dhadkane ki takat kaha bachi hai ab


uski tasveer ke saamne saari raat bethe rahe
dekhte he dekhte yeh waqt bhi guzarte rahe
yun toh koi khata na thi is waqt ki
fir bhi na jane kyun ise hum saari raat koste rahe

ek anjaana sa khawab hai woh
nazaro mein chaya aftab hai woh
jo dil mein utar kar dekhoge humare
ek bemisaal mohabat ka sehlab hai woh..........

hai toh saamne aaj zamana saara



hai toh saamne aaj zamana saara
par hai aaj bhi aankho mein yeh paani khara
hota main bhi ek hawa ka jhoka
agar mera bhi dil hota aaj ek banjaara

na aaj bhi tujhe in hatho ki lakhiro mein khojata
na yun aaj bhi sath rehne ke tere yeh sapne sanjota
jee leta main yeh tamam zindagi
bus chahat ke kuch pal he agar tu in yaadon mein jodta..........

maana aaj waqt mein kahin peeche hai hum...



maana aaj waqt mein kahin peeche hai hum
par is tarah jeene mein koi gum nahi
hai jo khawishe dabi is seene mein ab tak
ki unko poora na kar pane ka koi gum nahi
khawab toh dekhe hai hum ne bahot
unke poora na hone koi gum nahi
hai aaj yaha mohabat ki mehfil saji
par unki zikr-e-mohabat ka koi gum nahi
yun toh zahir kar diya humne sab unko
ki unki is berukhi ka hume koi gum nahi
jo khawab dekha  tha sang rehene ka unke
aaj unke sath na rehne ka koi gum nahi
jo kar guzarne ki aarzo hai
use chupane ka koi gum nahi
ki aaega ek din humara bhi waqt
abhi is guzarte waqt pe hume koi gum nahi.........

Sunday, August 18, 2013

bada he dilkash aandaz hai mere pyaar ka.......



kal saari rat karwat badalte rahe
na jane kyun dekhne ko unhe hum taraste rahe
hua is kadar unki chahat ka nasha
ki unki yaad mein hum toh saari raat jagte rahe

bina dekhe tujhe, mujhe skoon na aaye
na jane kyun teri yaad is dil ko har lamha sataye
ab aur imtihaan na lo mera
ki, ab bina tere ek bhi lamha jiya na jaye

yun aankho mein liye khawab unke sath ka
thama hai humne hath rah-e-ulfat ka
hai yakeen is raah ki koi manzil nahi
par kya kare, bada he dilkash aandaz hai mere pyaar ka

jab mukura kar woh un labzo se mera naam le
na jane kyun yeh hawa bhi use chahe tham le
woh nazare utha kar jab dekhe
toh, pori kaynaat ke farishte bhi use salam de.........

jab mera humsafar hai itna haseen...



hai yeh safar itna hassen
ki in mein kho jau na main kahin
aakhir kyun na ho
jab mera humsafar hai itna haseen

yun jhuki nazaro se na hume ab tadpao
keh do zuban se bus ek baar, ab aur na sataoo
hai yeh kaisa insaaf tumhara
ki bina izhaar-e-mohabat ke humpe haq jatao.....

yun toh kehta hai zamaana....



yun toh kehta hai zamaana
ki waqt ke sath sab badal jaega
jo na hai aaj tu kuch sumhja
ek din toh zaroor he sumjh jaega

tha aaj tak ek waham mein main jee rha
jahan sab ek dosti mein sumeta rha
yun toh laga tha yeh unki mohabat hai
par asal mein us mohabat ke peeche toh ek maksad chupa rha........

hum toh muskura kar unhe salam kar diye
bina kuch kahe zindagi ki raah par aage chal diye
tha alfazoo ka sehlaab zuban pe humare
par na jane kyun khamoshi se ek sham unke naam kar diye

par aaj pehli baar kisi ne hume hasna sikhaya....



unke ishq ka junoon mujh par aisa chaya
dekh unki tasver mujhe ab toh sukoon aaya
thi dile khawish ki bethe rahe woh nazaroo ke samne
ki unki maojoodgi ne toh ab hume jeena sikhaya

ek muddadt se tham gayi thi yeh dhakane
ki unhone inhe dhadkna sikhaya
tha kisi ke liye aankho mein ashko ka sehlab
par aaj pehli baar kisi ne hume hasna sikhaya.......