Thursday, November 10, 2011

ek khawab reh jaega....

ek khawab reh jaega teri un aankho mein khud ko dekhna
in hatho main tere nazuk hatho ko thamna
ek khawab reh jaega bekhauf duniya ki nazar se
un negahon main khud ko duba kar kho jana..

ek khawab reh jaega unki masumeyat ko dekhte rehna
toh un labhoo se har waqt mera naam soonna
un reshami zulfon pe azaab daalna
jo us maah-wash chere pe aakar unhe sataati hain...

ek khawab reh jaega un aankho ko chumna
teri zulfon k saaye mein soo jana
subah se sar-e-shaam tak unhe nazro k saamne rakhna
sote hue unke chere se, un gustak zulfon ko dorr karna..

ek khawab reh jaega unhe in bahon me duniya se chupana
seene se laga kar yeh batna ki in dhadkano mein kon hai
ek khawab reh jaega us pe-shani ko chum kar yeh batana ki
tu kuch or nahi khuda ka noor hai..

ek khawab reh jaega ki tujhe sabse chupa kar le jau kahin
na ho koi bandishe or na koi sazishe kahin
ek khawab reh jaega soonna ki aaj maine teri mohabat ko pechana
ki yeh toh aashqui hai na ki mujhe badnaam karna.....

haqeeqat toh yahi hai ki, esa kuch bhi na hoga
ki yeh toh bus ek khawab hai, bus ek khawab he reh jaega........

No comments:

Post a Comment