Monday, October 15, 2012

ek din toh woh shayad sumjhenge mere jasbaat..




ek gunah kiya hai maine
na chate hue bhi ek khawab dekha hai maine
haqeqat ko jhutla kar 
chala tha zameen se sitare ko chune

thame hue unke hath, yeh duniya dekhunga
un labzoo se bus apna he naam sununga
woh jheel si nazroon mein
main khud ko kya khuda ko bhi bhulunga

soacha woh ek din mera hoga
dekh meri mohabt ki shidadat, woh khuda bhi mujhpe reham hoga
na soacha tha kabhi yeh maine
ki tu haqeqat mein toh kya, khawab mein bhi mera na hoga

saare sach se dorr bhagta chala gaya
chup-chup kar unka dedaar karta raha
ek din toh woh shayad sumjhenge mere jasbaat
yahi soach bus sach ke raste pe chalte gaya

dekh meri mohabat, khuda ko gawaaraa na hua
"hokar ek insaan tune farishte ko kaise chua"
lakh sumjaya unhone, par main na maana
aakhir mein haar kar di unhone mujhe ek sazaa

unke sath raha, par mohabat ka izhar  na kar saka
"kyun hai duniya ke yeh dastoor" is sawal ka jawab main khoj na saka
rhi zehen mein ek baat- "hai yeh kaisi chahat meri"
ki kar ke itni mohabat bhi, aaj main unhe paa na saka

yun toh hume laga tha ki unke paas bhi dil hoga
tha na pata ki bina jasbaat ke ek gosh ka tukda hoga
kaise alag reh sakta hun apni chahat se main
ab hogie yahi baat ki, ab mere dil ki jagah pathr ka tukda hoga

ab toh inteha hogi hai mere bardaasht ki
thi dil mein ek aas, ki khalegi kabhi toh kami unko is insaan ki
abhi tak toh maut ko bhi rok rakha tha unke liye
PAR KABHI TOH NIKAL HE JAYEGI JAAN UNKE IS INSAAN KI...

No comments:

Post a Comment