farishton ka naam sunna tha
par dekha na kahin
kehte hain maut ke baad milti hai jannat
par maine toh use dekha hai yahin
har baat ko maine zuban se bola
lekin reh gayi ek baat kahin
thi umeed ki sumjhenge kabhi toh woh
jo maine har waqt nazaroon se kahi
siyaah ke saye mein thi meri zindagi
tune aakar bataya "yeh tera raasta nahi"
laga, yun toh tu bhi hoga wahi
par tune sumjhaya "sab ek jaisi hoti nahi"
us chehre mein thi ek alag baat he
jise dekh koi bhi kahe "kaash tu he ho mera mahi"
jo tham le un hatho ko koi
toh chore na unhe maut ke baad bhi
jab zindagi ki sachi saamne aaie
na jane kitni raatein yeh aankhe rooie
har dua mein bus ek he aarzoo ki
par khuda ne mujhse hus ke kaha "sath tere kabhi na hoga, tera MAHIIII"...
No comments:
Post a Comment