Saturday, December 28, 2013

Yeh neend mujhe ab tarsa ke chale jati hai....


Yeh neend mujhe ab tarsa ke chale jati hai
Chor mujhe bebas kisi ki yaad dilati hai
koi toh is na-sumjh ko sumjhaye
Ki yehi toh mujhe mere mehboob se milati hai

Yun unki yaad mein, tanhai mein jeete hain
Dekhne - sunne ko unhe hum har lamha taraste hain
Jo ho bas ek aahat unki
Kasie sumjhaye ki usi lamhe mein he toh hum jeete hain...

Jo tu kahe aaj main kar jau...



Jo tu kahe aaj main kar jau
Bas tere laboo pe fir se woh muskan le aau
Jo tu kare bas ek ishara
Toh us aasama ke sitare bhi zameen pe le aau...

*********************************************************************************

Is raah pe manzil-e-ishq ka pta nai
Bewafai ki mehfil mein wafa ka pta nai
Jis anjaam pe le aaya hai hume yeh ishq
Ki, aaj toh hume khud ptaa pta nai....

*********************************************************************************

Hai hoosan ki mehfil saji humare aashiyane mein
Koi bhar de jaam humare is paimane mein
Jo agar pee gaye unke nazaro se mohabat ka jaam
Toh zarror ho jaenge rusva hum is zamane mein...

*********************************************************************************

Aaj sab kho kar, kis par main aitbar karu
Dil kahe na kisi se ab main pyaar karu
Hai aaj kash-m-kash dekh kisi ki mohabat
Ki aaj us se main iqraar ya inkaar karu...

*********************************************************************************

mohabat ki rahguzar nahi hai aasan
phir bhi na mane yeh dil, kare hume pareshan
Itlaah toh koi kar de unhe
ki unke bina jeena ab toh nahi hai aasan.....

teri aarzo, teri justjoo nahi hai ab



teri aarzo, teri justjoo nahi hai ab
jaise waqt ke shere mein kahin kho gaya sab
kya seela dein un baaton ka
jin ki zindagi mein koi ehmiyat nahi hai ab

aksar woh yaadein in hawao ki tarah cho kar nikal jati hain
kya hote hain yeh jazbaat, kuch halka sa ehsaas krati hain
kaise sumjhaye is naadan dil ko hum
jo kabhi-kabhi un badzaak jazbaaton ko sumjhna chati hain

yeh gum-e-ishq ab mera mustakbil nahi
jo tha is dil pe tera haq woh ab aur nahi
jo seela mila hai hume un baaton ka
ki aab toh tere aks ki bhi khawish nahi..............

Monday, December 9, 2013

ek taraf meri chahat ...


ek taraf meri chahat 
toh ek taraf mera sukoon hai
ek taraf uski bewafai ki aahat
toh ek taraf kisi ke liye uski mohabat ka junoon hai

hai kash-m-kash ki jau kaha
hai aarzo ki meri kushi, mera sukkon ho jaha
bethi aankhe band kar khamoshi se
aaie dil se aawaz aa le chalu tujhe main waha

na soon kisi ki baat tu
bas muskaan rakh apne pass tu
kar unsoona doosro ki baatein
meri he baaton ko bas apna tu

ab ek sukoon bhari zindagi hai
na mohabat ki zindagi mein kami hai
kar ruswa tamaam gum ke zariyon ko
aaj toh mere sang meri poorani zindagi hai...

talash kar-kar ke hun aaj main bahot pareshan...



talash kar-kar ke hun aaj main bahot pareshan
dekh meri kash-m-kash hai yeh fiza bhi hairan
hai aakhir kis ki talash- masomiyat se poocha
kaise sumjhu ki uske jaise na hai koi dooja

jo woh jab nazar aaye toh fiza bhi tham jaye
jab uthaye palke toh suraj bhi sharmae
are us muskan ke baare mein kya khain
jise dekh ke kisi ki bhi dhadkan ruk haye..........

hai woh itni masoom kaise..........


hai woh itni masoom kaise
hai kash-m-kash main is dil ko roku kaise
jab nadaani se koi baat keh jati hai
aksar mere laboo pe ke muskaan chor jati hai

woh terchee nigaon se dekhna uska
woh dekh mujhe apni zulfon ko sawarna uska
kaise batoon use ki
kitna pasand hai mujhe woh shrmana uska.....

Ek pyari si gudiyaa.....


Ek pyari si gudiyaa
Jisne dekhi bas thodi si duniya
Aankho mein masoom se khawab liye soache
Aaj toh pankh laga ke dekh lo main sari duniya

Uski muskan meri kushi 
Uski hasi meri zindagi
Yeh kis mukaam pe hain aaj hum
Ki uski saasen meri tishnagi...

Friday, November 22, 2013

BILLI, please let it be my name......



whenever i see the moon
i see your face
may i meet you soon
as i don't wanna live in maze
like these stars you are so far
can't reach you even if i use a car

these days i can't even afford a cycle
hearing this you may point on me a rifle
if you leave all these materialistic things
i am the best among all human beings

my pocket doesn't have a silver or a gold
but my heart is made up of pure 24 carat of gold
will love u more than your father or mother
will protect you more than your sister or brother
one day my pocket will not have a gold
but will have something valued more than a gold

i love the way you smile
i love the way you twinkle your eye
those red lips more than a petal of rose
loves that your small cute little nose
that skin of yours smother than slik 
seeing them for more than a moment anyone can blink

don't know what do i say about that hair
that kills anyone, BABU that's not fair
those streaks of red in that dark cloud
which say some thing very loud
as if waiting to write someone's name
BILLI, please let it be my name......

Sunday, November 17, 2013

tham ke in hatho ko jo chale hai woh humare sang..



tham ke in hatho ko jo chale hai woh humare sang
sath hume dekh unke hai yeh fizza bhi aaj dang
hoti hai bus ab ek yahi aarzoo
ki bus tu rahe mere ab toh roobaroo 

is raah par chalne se ab toh kahin darr lagta hai
par na jane kyun unke chehre mein ek gulistan dikhta hai
hai umeed ki is baar shayad manzil milegie
aur shayad is baar yeh dhadkan na thamegie..............

for me you were always as a lover nor as a friend...



for me you were always as a lover nor as a friend 
but you always treated me nor as a lover nor as a friend

may be for people like you it is a trend
to play with once emotions is your favorite time to spend

in desire of your care, every second i cried
that finally after so long, it all dried

your ignorance always gave me so much pain
but today i learned without you how i have to sustain.....

hai aaj ajab sa ek sunna pan...



hai aaj ajab sa ek sunna pan
na jane kyun lage na kahin yeh mera mann
reh kar bhi aaj itni bheed mein
hai khawish ki koi khass toh ho aaj mere sang

jo bus meri baat sunne
jo bus meri raah chune
chor duniya ki tamaam cheeze
bus woh mere he khawab bune

rakh apne hath ko mere in hatho mein
kuch meethi-meethi si baat kahe
rakh apni zulfon ke saaye mein
mere un khawabo ke sath rahe

apni baanho mein aagosh kar
khud he mein mujhe samet le
toh kabhi woh ashk-bar aankhe dikha kar
mujhe usse dorr jane se rok le

hai aaj ajab sa ek sunna pan
na jane kyun lage na kahin yeh mera mann........

Monday, September 9, 2013

shishe pe girti yeh baarish ki bunde aaj ek nagma sunae



shishe pe girti yeh baarish ki bunde aaj ek nagma sunae
tip-tip ki awaz mein dheme-dheme kuch toh gun-gunae
hum toh bus muskura kar sunte rhe
ki, woh nagme mujhe aaj kisi ki yaad dilaye

yeh dhema-dhema se filsta pani
na jane kitne dilo ka fasana sunnaye
sun kar jise aankho mein aaje pani
sath-sath apne, na jane hume kyun rulaye

aasman mein dil ka haal dikhta hai
dil ke jaisa he sab bikhra sa dikhta hai
itne muddat ke baad bhi
unhi ka chehra un badlon mein dikhta hai........

jo barso se dil mein base the woh hazoor...



jo barso se dil mein base the woh hazoor
ki isme kisi aur ko rakhne ki takat kaha bache hai ab
jis mohabat ki shiddat pe tha ise jo itna guroor
uske jaane ke baad, isme dhadkane ki takat kaha bachi hai ab


uski tasveer ke saamne saari raat bethe rahe
dekhte he dekhte yeh waqt bhi guzarte rahe
yun toh koi khata na thi is waqt ki
fir bhi na jane kyun ise hum saari raat koste rahe

ek anjaana sa khawab hai woh
nazaro mein chaya aftab hai woh
jo dil mein utar kar dekhoge humare
ek bemisaal mohabat ka sehlab hai woh..........

hai toh saamne aaj zamana saara



hai toh saamne aaj zamana saara
par hai aaj bhi aankho mein yeh paani khara
hota main bhi ek hawa ka jhoka
agar mera bhi dil hota aaj ek banjaara

na aaj bhi tujhe in hatho ki lakhiro mein khojata
na yun aaj bhi sath rehne ke tere yeh sapne sanjota
jee leta main yeh tamam zindagi
bus chahat ke kuch pal he agar tu in yaadon mein jodta..........

maana aaj waqt mein kahin peeche hai hum...



maana aaj waqt mein kahin peeche hai hum
par is tarah jeene mein koi gum nahi
hai jo khawishe dabi is seene mein ab tak
ki unko poora na kar pane ka koi gum nahi
khawab toh dekhe hai hum ne bahot
unke poora na hone koi gum nahi
hai aaj yaha mohabat ki mehfil saji
par unki zikr-e-mohabat ka koi gum nahi
yun toh zahir kar diya humne sab unko
ki unki is berukhi ka hume koi gum nahi
jo khawab dekha  tha sang rehene ka unke
aaj unke sath na rehne ka koi gum nahi
jo kar guzarne ki aarzo hai
use chupane ka koi gum nahi
ki aaega ek din humara bhi waqt
abhi is guzarte waqt pe hume koi gum nahi.........

Sunday, August 18, 2013

bada he dilkash aandaz hai mere pyaar ka.......



kal saari rat karwat badalte rahe
na jane kyun dekhne ko unhe hum taraste rahe
hua is kadar unki chahat ka nasha
ki unki yaad mein hum toh saari raat jagte rahe

bina dekhe tujhe, mujhe skoon na aaye
na jane kyun teri yaad is dil ko har lamha sataye
ab aur imtihaan na lo mera
ki, ab bina tere ek bhi lamha jiya na jaye

yun aankho mein liye khawab unke sath ka
thama hai humne hath rah-e-ulfat ka
hai yakeen is raah ki koi manzil nahi
par kya kare, bada he dilkash aandaz hai mere pyaar ka

jab mukura kar woh un labzo se mera naam le
na jane kyun yeh hawa bhi use chahe tham le
woh nazare utha kar jab dekhe
toh, pori kaynaat ke farishte bhi use salam de.........

jab mera humsafar hai itna haseen...



hai yeh safar itna hassen
ki in mein kho jau na main kahin
aakhir kyun na ho
jab mera humsafar hai itna haseen

yun jhuki nazaro se na hume ab tadpao
keh do zuban se bus ek baar, ab aur na sataoo
hai yeh kaisa insaaf tumhara
ki bina izhaar-e-mohabat ke humpe haq jatao.....

yun toh kehta hai zamaana....



yun toh kehta hai zamaana
ki waqt ke sath sab badal jaega
jo na hai aaj tu kuch sumhja
ek din toh zaroor he sumjh jaega

tha aaj tak ek waham mein main jee rha
jahan sab ek dosti mein sumeta rha
yun toh laga tha yeh unki mohabat hai
par asal mein us mohabat ke peeche toh ek maksad chupa rha........

hum toh muskura kar unhe salam kar diye
bina kuch kahe zindagi ki raah par aage chal diye
tha alfazoo ka sehlaab zuban pe humare
par na jane kyun khamoshi se ek sham unke naam kar diye

par aaj pehli baar kisi ne hume hasna sikhaya....



unke ishq ka junoon mujh par aisa chaya
dekh unki tasver mujhe ab toh sukoon aaya
thi dile khawish ki bethe rahe woh nazaroo ke samne
ki unki maojoodgi ne toh ab hume jeena sikhaya

ek muddadt se tham gayi thi yeh dhakane
ki unhone inhe dhadkna sikhaya
tha kisi ke liye aankho mein ashko ka sehlab
par aaj pehli baar kisi ne hume hasna sikhaya.......

Thursday, July 25, 2013

jab na jaan paaya ki usme toh mera khuda basta hai..............



dekh kisi ki chahat main 
aksar seeham sa jaata hun
yun dekh kuch chehro ko
na jane kyun aaj bhi tham sa jaata hun

hai aaj bhi seene mein khawish 
ki ek bar toh woh thame in hatho ko
jo ruke gaye hain yeh lahu in ragon mein
unhe ek baar toh khul ke behne do

bus ek khawab ki tarah hai yeh 
kuch lamhe mein he tooth jaati hai
kya kahe kitni kush-naseeb hai yeh hawa
jo aksar unke saaso mein utar jaati hai

woh barsaat ka paani 
jo unke galoo se guzar kar, laboo mein sama jaata hai
woh saaya unka
jo har lamha unse jooda rehta hai

soach aksar in cheezo ko 
main khud main he kush ho leta hun
jo na mile kabhi woh humse
toh in cheezo mein he unhe khoj leta hun

woh hawa jo aksar kaano mein keh jaati hai
woh aaj bhi tujh se nafrat karti hai
muskura kar bus yahi kehta hun
"shayad isliye aaj bhi tu uski hefazat karti hai"

woh baarish ka paani aksar kuch yaad dilata hai
toh kabhi hatho mein gir kar, kisi ka chehra ban jaata hai
dekh woh mujhe, mujhpe hasta hai
jaise kahe ki tu aaj bhi kyun uske liye roota hai

yeh saaya he bus mere sath rehta hai
rakh khande par hath kahe, tu kyun itna sehta hai
kya kehta use, jab mera saaya ho kar bhi 
jab na jaan paaya ki usme toh mera khuda basta hai..............

Sunday, July 21, 2013

jo bus ek lamhe ki liye bhi unse ja mila....


aaj na jane kyun yeh sama hai khila-khila
jaise jannat se koi kushi ka kafila chala
hai kush naseeb woh shaks
jo bus ek lamhe ki liye bhi unse ja mila

seene mein ek aarzo liye us raah mein hum chal diye
har us gum ko is seene mein rakh ke aaj see diye
nazaroon ne talasha unhe har ek kadam pe
ki bus us ek jhalak ke sahare hum apni sari zindagi jiye........

Sunday, June 30, 2013

bhula do un yadoon ko jo unki yaad dilati hain...


bhula do un yadoon ko jo unki yaad dilati hain
jinhe soach aandhere kamre mein hum kabhi aaso bahate hain
kisi dusre se kya shikayat kare
jab hum khud ke saye ko dekhne se katrate hain

lage aisa ki ab kushi ke daaman se sath jhuta hai
na jane kyun har baat pe aaj humse koi rutha hai
na khawish rahi ab dil ko dhadkane ki
jaana unka pyaar toh kya, saare jahan ka pyaar jhuta hai

guzarte waqt ke sath yeh yaadein na rahengie
shayad bina tumhare yeh saase bhi na chalengie
kya mila kar mohabat itni shidadat se mujhe
yeh sawal meri rooh mujhse tamaam zindagi karegie

maana aaj yeh waqt hume bahot rulaega
lekin ek din palat ke mera bhi waqt aaega
lakh khawaish hogie mehsus karne ki hume
chahe roge jitna bhi, par usdin humara saaya bhi na nazar aaega.......

fir na jane kyun hum parwane ki tarh, shama ke liye jal jaate hain....



zindagi fir us modah par le aayi hai
yeh taarikh hume aaj fir kuch yaad di layi hai
yun toh rehti hai koshish ki yadoon ko dorr kare
fir bhi na jane kyun aaj tu nazaroo ke samne chayi hai

palat kar har jagah dekha ki tu na dikhe
teri yaad mein aaj yeh aankhe na bighe
moomkin nahi ki teri yaad ke bina main ek bhi saas loon
na jane kyun itni zilat ke baad bhi, yeh dil kuch sikhe

maana aaj bhi unki yaad mein aasoo bahate hain
na jane kyun lakh koshish ke bad bhai har lamha tumhe aur chate hain
hai yakin na janoge humari mohababt kabhi
fir na jane kyun hum parwane ki tarh, shama ke liye jal jaate hain....

PRINCESS WILL YOU BE MY VALENTINE.....



was walking on road all alone
when all of sudden with a voice i got drone
looked for the reason
found, few couple were getting enthrone

don't know why i looked them for a moment
they recalled me something that was cogent
was getting lost in some thought
when some thing in me act as appellant

good in me was saying- SHE WAS THE ONLY ONE
bad in me said- MANN FROM WHERE SHOULD I BEGUN
yelled aloud between the war of LOVE and HATE
finally said to myself- MANN NOW UM DONE

showing after soooo much love what i got
apart, every single second i strive to forgot
might that time i had tooked sum step
but gal this was the best lesson u had taught

to make you happy i never saw the clock
in path of your love, i tooked a long walk
got lost so much in you
that in your mania, many times i jaywalked

may by god for you i was not assigned
but i accepted you for my whole lifetime
i wished i could ever say

PRINCESS WILL YOU BE MY VALENTINE.....

Thursday, February 28, 2013

ishq-e-uqoobat se guzar kar he, har koi jeena sikhta hai




ishq-e-uqoobat se guzar kar he, har koi jeena sikhta hai
har gum-e-mehfil mein beth kar bhi hasna sikhta hai
yeh toh takaza hai mohabat ka
jo zinda ho kar bhi, har roz koi marr ke jeeta hai

yun toh zikr-e-firdaus mein apna aashiyan hai
jin mein reh kar aaj yeh dil ashqiyaa hai
hai yeh unki mohabat ki shidadat shayad
jo aaj zuban pe khuda ki jagah naam unka hai

unki ulfat-e-aarzoo se bhagte rahe hain hum
jo ho na saka haqeeqat, us khawab ko dekhte rahe hain hum
yun toh hai abhi sanh zindagi ke bahot
na jane kyun har ek saas ke sath marhoom ho rahe hain hum

aakhir unki mohabat ki aarzoo liye hum kab tak jieynge
ek roz aaega ki is gum-e-ulfat se hum na rahenge
hai yeh shayad anjam meri mohabat ka
jo liye aankho mein ashk, dekh unhe hum fir bhi kuch na kahenge.......

Thursday, February 7, 2013

In hawao mein ek ajab si mehak hai aaj




In hawao mein ek ajab si mehak hai aaj
jise mehsus kar lage, tu hai aaj mere aas pass
na jane kyun negahoon ne har jagah talasha tujhe
jab dil ne muqir kiya har bar ki tu na milega kabhi bhi mujhe

ek khawish ke sath jeete hain hum abhi
ki sumjenge mere jasbaat woh toh kabhi
yun toh namoomkin si hai yeh aarzoo
lekin tum bhi toh karoge kisi se mohabat kabhi

yun jis tarekeh se woh zindagi se gaye hain
hum toh har lamha kud se he lade hain
kyun har ek saas pe hoti hai unki aarzoo
jo har baar hume be-rookhi se dekhte hain

yeh mohabat ki aarzoo liye kab tak hum jiyenge
is be-rookhi ke jawab mein hum kabhi kuch na kahenge
yun toh ki hai jaisi bhi mohabat
lekin karo yaad hume, jis din hum na rahenge....

Friday, February 1, 2013

aur shayad aaj maine apni mohabat ka anjaam jaan liya....




anjane mein huie ek aisi khata
hui humari zindagi hum se khafa
lakh sumjhaya par woh na mane
liye hatho mein ek chadi, hum kaha dedo hume aaj koi saza

bina kuch kahe woh khamoshi se chal diye
hum bebasi se unhe dekhte reh gaye
unke har kadam pe, unhe awaz di
par na jane kyun unhone yeh khamoshi wali saza di

yun palat ke kuch kahe toh hote
hume apna sumjh ke saza toh diye hote
bus kahmoshi se unhe dekhte rahe
ki kabhi toh woh thoda toh sumje hote

dekh meri bebasi us khuda ko na jane kyun reham aaya 
do haseen farishte meri zindagi mein le aaya
yun meri kushi na dekhi gayi shayad use
jo aaj mujhse fir is duniya mein tanha chor aaya

dekh asmaan mein poocha, aisi kon se thi kahata
jo de rah har baar tu mujhe aisi saza
un sitaroon mein dikha wahi poorana naam
sumjha aakhir yeh hai usi princess ki saza

muskura kar saza ko salaam kiya
jo main unke sath kiya use aaj maine mehsus kiya
yun toh lakh koshishon se bhi badal nahi sakta
aur shayad aaj maine apni mohabat ka anjaam jaan liya....

Wednesday, January 16, 2013

na jane zindagi mein aaj kaisa ek modh aaya...




na jane zindagi mein aaj kaisa ek modh aaya
na-chahte hue bhi aaj fir koi mohabat le aaya
yun toh lakh thukraya humne
par  har baar usne kaha- aaj bhi hume tumpe pyaar aaya

ek khauf sa hai mere seene mein
na jane kya badlav aaenge jeene mein
ek lamha bhi na dorr kiya tha kabhi unhe
ki kaise rakh paaenge kisi aur ko is seene mein

muskura kar har baat ka jawab diya
hasta dekh hume har bar usne sawal kiya
kaise kehte ki roak do yeh sawal-jawab
ki har alfaz ne hume, unhe yaad dila diya

dekh itni mohabat hume thoda reham aaya
ek aakhri baar khud ko sumjhaya
yun toh har modah par hai haseeno ki mehfil
fir bhi na jane kyun, khuda ki jagah zuban pe unhi ka naam aaya........