khwaisho mein bus ek khwaish to ki thi
tujhe pane ki ek jostuju to ki thi
sumjh rha hun aaj tere alfaz dekh kar
ki shayad tune to mujh se dur jane ki aarzo ki thi
thodi takleef hoti hai mujhe tera rwiya dekh kar
kya maine itni bhi buri guzarish ki thi
har woh lamha jo tere sath bitya hai
use fir bitane ki ek tamna ki thi
kuch bhi kar jau us din ko wapas lane k liye
jis din mein tujhe pane ki koshish ki thi
maine to bus
khwaisho mein bus ek khwaish to ki thi
har yaad ko bhulane ki koshish ki thi
par har yaad mein tu he toh hoti thi
kuch bhi kar lun bhula nahi sakta kuch bato ko
kyun ki
har baat mein to bus baat bhi teri hoti thi
kya tha tera mujh p yakeen
yeh soach k taklif mujhe hoti thi
jo kisi gair ki baat ko tu aasani s maan leti thi
na jane tune mujh se kesi dosti ki thi
maine to bus
khwaisho mein bus ek khwaish to ki thi
jo koi tujhe chue toh taklif mujhe hoti thi
hath kat dun uske esi meri khwaish hoti thi
jo tu chae woh tujhe mile aesi to maine duayen ki thi
phir bhi na jane kyun baad mein mujhe takleef hoti thi
shayad meri mohabbat mein kami thi
jo tu mere sath na hoti thi
hum to bus dekh k kush the ki
jo tuhje kush rakhe tu us k sath to hoti thi
sab kuch itna milta tha
chalne ka soachta mein tha, kadam tu uthati thi
kapde jo pehno na jane kaise
color bhi toh tu bhi wahi pehnti thi
maine to bus
khwaisho mein bus ek khwaish to ki thi
na jane kya maine galti ki thi
bus ek tasveer k size s
apni chahat jatane ki koshish ki thi
na janne tu ne kya sumjha
tune toh khud ki tohin sumjh lee thi
tu nai jani us din mujh p kya beti thi
kya mujh p itna he yakeen ki thi
sab kuch bolna chata tha
par kya karu meri zuban mere aage khadi thi
maine to bus
khwaisho mein bus ek khwaish to ki thi...
garon ki bato p toh tune yakeen ki thi
na jane kya tha tune mujhe sumjha
ki itne din mere sath rahi thi
kya ek jhot ki saza itni badi thi
ki us jhot s toh
maine tujhe jaane ki koshish ki thi
dost bhi mujhe zindagi ne ek esi di thi
jis ne to meri zindagi he mujhse le lee thi
teri surat mein maine fir zindagi ko paya
or maine pehli baar kisi s mohabat ki thi
maine to bus
khwaisho mein bus ek khwaish to ki thi...
maine toh sab kuch ki khwaish nahi ki thi
bus tu hasti rahe bus yeh dua ki thi
na tu sumjhe mujhe kabhi, har baar maine koshih ki thi
kush hun yeh dekh k ki
khuda n yeh dua bhi kubul ki thi
bahot milte hain zindagi k safar mein log mujhe
judna chate hai humse esi khwaish unhone zahir ki thi
na jane kya dekha is kambaqt dil ne
ki meri rooh to bus tu he ban gayi thi
khuda kare yeh nafrat aesi bani rahe
ki ab humne toh aesi duayen ki thi
jo tha mujhe chaye woh toh teri rooh thi
jism mein to tere hume zara c bhi khwaish nahi thi
kuch nai raha ab kush hone k liye
kyun ki meri zindagi toh mujh s roothi padi thi
kya khata thi meri
ki bus meine tujh se sache dil s mohabat ki thi
dhoka na dun kisi or rishte k naam p
esi to maine koshish ki thi
bus yahi baat reh gaye ab zindagi mein ki
maine to bus
khwaisho mein bus ek khwaish to ki thi......
No comments:
Post a Comment