Sunday, July 31, 2011

yaad aata hai mujhe har woh lamha.....

woh waqt ka tkaza, woh chandani raatein
teri awaz ko sune ko bekrar thin ye kane
bus ek aahat s hota tha jannat ka ehsaas
kaise kaho kitna tha mujhe tujhse pyaar

woh 11 bajne ka intazar karna
reliance ka sada hua phone lekar roome s dur bhagna
ek terrace k kone mein sidhe p let kar chandi ko dekhna
or tera woh pyaar s mera naam pukarna
yaad aata hai mujhe har woh lamha
tera nadani s mujhe pareshan karna

har baat ko meri shedaat s sunna tera
jaise har baat mein jawab dhundna tera
har pal yeh shak hota tha
ki kya tu bhi mujhse mohabat karta tha
tere nakhre k liye taraste the hum
na jane kis ada p tere marte the hum

har baat mein bus yahi to kehna chata tha
ki teri chaht mein mera khuda basta tha
teri har khawish ko sunna
or agle din use hakeqt mein tabdel karna
yaad aata hai mujhe har woh lamha
tera nadani s mujhe pareshan karna

har gusrte waqt k sath teri aahen suna
bus yeh dar tha
kahin ab na kahe-ab bus karo kuch kehna
har alfaz the mere sache
har wade the mere pure pake

agle din tujhe nazre dhunti thi
tere ek jhalak ko tarste thi
woh noorani chera jab saamne aata tha
na jane kyun kambaqt dil bahot ghabrata tha
tujhse nazar mialne ki koshish karna
or fir tera har baar ki tarah sharmana
yaad aata hai mujhe har woh lamha
tera nadani s mujhe pareshan karna

har mushkil mein tera mere sath rehna
aur teri mojudagi s mere dar ka bhag jaana
har kaam s pehle tujhe dekhna chata tha
teri zuban s ek baar apna naam suna chata tha

yaad aata hai mujhe har woh lamha
tera nadani s mujhe pareshan karna

 
agle raat fir wahi kaam karna
aur pechle din ki sari baatein yaad karna
tera mujh s har baat p xplanation mangna
aur tujhe sumjhane ki koshish mein baat ko mera aur bigdna
har ek sawal yahi dar lagata tha
kahin aaj sab khatam na ho jae yeh ehsaas karata tha

guzrte waqt k sath 2m dur jate rahe
or har baat k sath hum apni maut k kareeb jate rahe
har duwa m tujhe yaad kiya
mere naseeb n bhi mujh s ganda mazak kiya
kasam khai ki zakham dene wale ko dur kar denge
kya pata tha woh zakham hum he de denge
jo kaha tha woh nibhana pada
mujhe apni rooh ko khud s dur karna pada


aaj bhi yaad hai mujhe woh din
tera mujhse us bekar ki photo p ladna
kaise kahe kya hain hum tumare bin
bahot bhari pada mujhe woh mohabat ka ishar karna
kabhi lagta tha ki iqraar hai
to kabhi pura inkaar hai
kaise kehte ki ab jina tum bin dushwar hai
har saas p to bus ab tera he naam hai

na khud ko kabhi sahi sabit hone denge
na gum ko tere kareeb hone denge
har kaminey ka baap banege
par tujhe apni mohabat ka ehsas na hone denge
ab na baatein hai
or na zindagi mein koi chandani raatein hai
ab har samaa badla hai
or yeh insaan aap k liye begana hai


ab toh bus yahi fsana hai
mujhe toh apni maut ka intazar karna hai
har guzarte waqt k sath hume bhul jaoge
hum jasie insan ko yaad kar k kya paoge
jo chez hume bahot bhaie hai
woh to tere chehre ki smile hai
is cheez ko na kabhi dur hone dena hai
or is k liye mujhe khud ko dur karna hai

yaad aata hai mujhe har woh lamha
tera nadani s mujhe pareshan karna....

No comments:

Post a Comment