Tuesday, January 31, 2012

lakin yeh sath na hone ki sachi ...


hai koi khas jise kabhi yaad kar leta hun
aati hai jab teri yaad toh muskura leta hun
yeh toh shukr hai is shayari ka jo
dil ki baat ko alfaazo mein bayan kar leta hun...


yun toh teri yaad aksar muskan laati hai
tanhai mein bhi kisi ke sath ka ehsas karati hai
lakin yeh sath na hone ki sachi 
aksar mere aankho mein ek askh le aati hai......

No comments:

Post a Comment