Wednesday, February 1, 2012

jab tere alfaazo mein mere kuch alfaazo ko dekhta hun....


dekh kuch tasvero ko main aaj bhi roota hun
jin mein sath main tere kahin bhi hota hun
hota hai fakr apni mohabat ki shiddat pe mujhe
jab tere alfaazo mein mere kuch alfaazo ko dekhta hun..


yeh zamane ke rewazo ki wajah se chorna pada tujhe
jin logo ne banaye hain yeh siqaafat, unse nafrat hai mujhe
kehte hain sab hota hai kisi ki marzi se
kabhi-kabhi toh us yazdaan se bhi nafrat hoti hai mujhe..


yun toh likha hai kahin ki, unki rehmat sachai ke sath hoti hai
jo chala hun us raste pe toh na jane har bar mujhe he takleef hoti hai
kush dekh kuch insaano ko yeh jana hai maine ki
kismat toh humesha be-imaan ke sath hoti hai..


yun sach ka sath dekar kya paya hai maine
reh kar apni zuban pe kayam, khoya tujhe hai maine
jo na ho sakega haseel woh kabhi 
us raste ko intikhaab kiya hai maine


tha ilm mujhe ki main ek budzil keh launga
jo paa na saka apni mohabat woh shaks keh launga
jo thi bus yahi koshish meri ki
is zamane ki wajah se baad mein tujhe roota hua main dekh na paunga..


baad mushkilo se khud se dorr kiya hai tujhe
 jo kiya maine dekh kuch logo ko, woh thik lagta hai mujhe
yeh zaroori nahi ki main kush hun ya nahi
tere laboo pe muskan dekh, ek alag sa sukoon milta hai mujhe.....

No comments:

Post a Comment