har lamha tera saaya ban ke rahunga
jo gum dikhe dorr se use khud mein samaet lunga
na jud saka toh kya hua
teri kushi dekh, roshani mein goom ho jaunga
main wahi kinaara hun, jo kabhi bhi mil na paunga
jo rehta hai sath woh saabit kar dikh launga
hai aas ek seene mein mere
ki, shayad ek din toh thoda nazdeekh aaunga
yun tujhe muskurata hua dekh kush ho leta hun
in tasveero ke sahare he toh main ab jee leta hun
dekh tujhe kabhi udas toh
kabhi kabhi us khuda se bhi lad leta hun
beech humare kismat ne kiye hai milo ke faasle
maan use sachaie, main chala hun apne raaste
kyun pehle kadam pe he uthti hai khawish
ki, ek baar toh dekh lun tujhe aakhri baar haaste
kiya hai ek wada khud se ki
har lamha tera saaya ban ke rahunga...
No comments:
Post a Comment