Friday, March 7, 2014

Ab toh aadat hai meri....



teri yaadon ke sahare jeene ki, ab toh aadat hai meri
teri baaton ko yaad kar muskurane ki, ab toh aadat hai meri
jo manzil kabhi tujh tak na pahuchaye
us mukaam ko rahaguzar banane ki, ab toh aadat hai meri

thak jane par teri tasveer dekhne ki, ab toh aadat hai meri
kamyabi ke jashnn mein teri aawaz sunna, ab toh aadat hai meri
jab ho khawish ki tujhe in baho mein tham lun
toh in hawao mein hath faila kar tujhe mehsus karne ki, ab toh aadat hai meri

teri kushi ke sath jeene ki, ab toh aadat hai meri
kar har gum ko ruswa, liye aankho mein aashu hasne ki ab toh aadat hai meri
poocha us khuda ne aakhir "kya hai aakhir khawish teri "
maine bhi muskura ke keh diya, "ban uska saaya jeenyun ab toh yahi hai aarzo meri"....

No comments:

Post a Comment