Friday, May 30, 2014

Yeh ishq nahi asaan gaalib, ki ismein kai gira karte hain..


paiymane mein aaj jaam ki kami hai
bhari mehfil mein in baahomo mein kisi ki kami hai
kya wasta de unka
jab in hatho mein un lakiron ki kami hai

yun is kadar madhosi mein har lamha jee rahe
na jane kya madhosi mein tujhse kuch keh rahe
ki kahin toh tujse mulakat ho
meri saaso ka teri saaso se ab toh aagaz ho..

******************************************************************
Bikhar kar ab main simat sa gaya hun
Teri yaadon ki galyion mein gum sa gaya hun
Yeh zindagi us modh par le aaie hai hume
Ki teri rooah mein utar sa gaya hun...

******************************************************************

Tere chehre pe yeh mayusi ab hume gawara nahi
Na bacha koi aisa kushi ka kafila jise tere liye pukara nahi
Yun toh behad khubsurat hai yeh zindagi
Par tere siva ise jeena ab hume gawara nahi...

******************************************************************

Yeh ishq nahi asaan gaalib, ki ismein kai gira karte hain
Koi pooche toh us parwane se jo kushi se shama ke liye jala karte hain..

******************************************************************

Unki woh muskaan, jo mujhe jeena sikhaye
Nam aankho se bhi kuch kehna sikhaye
Yun toh ab har chehre se darr lagta hai
Par unse kaise kahe ki bas unke chehre pe ab toh yeh dil marta hai....

No comments:

Post a Comment