Tuesday, November 27, 2012

farishton ka naam sunna tha.....




farishton ka naam sunna tha
par dekha na kahin
kehte hain maut ke baad milti hai jannat
par maine toh use dekha hai yahin

har baat ko maine zuban se bola
lekin reh gayi ek baat kahin
thi umeed ki sumjhenge kabhi toh woh
jo maine har waqt nazaroon se kahi

siyaah ke saye mein thi meri zindagi
tune aakar bataya "yeh tera raasta nahi"
laga, yun toh tu bhi hoga wahi
par tune sumjhaya "sab ek jaisi hoti nahi"

us chehre mein thi ek alag baat he
jise dekh koi bhi kahe "kaash tu he ho mera mahi"
jo tham le un hatho ko koi
toh chore na unhe maut ke baad bhi

jab zindagi ki sachi saamne aaie
na jane kitni raatein yeh aankhe rooie
har dua mein bus ek he aarzoo ki
par khuda ne mujhse hus ke kaha "sath tere kabhi na hoga, tera MAHIIII"...

Monday, November 12, 2012

things do get change so am i....




things do get change so am i
time has come to come out of a lie
indeed, seeing you my spirit always goes high
but all i know now that you are not my pie

tooked first step to make some change
standing at one place only how long will i sustain
yeh few things i will not able to change 
as moving on feeling is so strange

a final toast was raised in the name of you
remembered, with everyone how much i had argued
i tooked my mind in a state of curfew
because finally time has come to say you ADIEU

your memories are just like a ghost
as now my heart has finally sclerosed
taking a puff, seeing my cohorts
i said to myself 

"WAHI TERI LIFE NAHI HAI MERE DOST"

Monday, October 15, 2012

ek din toh woh shayad sumjhenge mere jasbaat..




ek gunah kiya hai maine
na chate hue bhi ek khawab dekha hai maine
haqeqat ko jhutla kar 
chala tha zameen se sitare ko chune

thame hue unke hath, yeh duniya dekhunga
un labzoo se bus apna he naam sununga
woh jheel si nazroon mein
main khud ko kya khuda ko bhi bhulunga

soacha woh ek din mera hoga
dekh meri mohabt ki shidadat, woh khuda bhi mujhpe reham hoga
na soacha tha kabhi yeh maine
ki tu haqeqat mein toh kya, khawab mein bhi mera na hoga

saare sach se dorr bhagta chala gaya
chup-chup kar unka dedaar karta raha
ek din toh woh shayad sumjhenge mere jasbaat
yahi soach bus sach ke raste pe chalte gaya

dekh meri mohabat, khuda ko gawaaraa na hua
"hokar ek insaan tune farishte ko kaise chua"
lakh sumjaya unhone, par main na maana
aakhir mein haar kar di unhone mujhe ek sazaa

unke sath raha, par mohabat ka izhar  na kar saka
"kyun hai duniya ke yeh dastoor" is sawal ka jawab main khoj na saka
rhi zehen mein ek baat- "hai yeh kaisi chahat meri"
ki kar ke itni mohabat bhi, aaj main unhe paa na saka

yun toh hume laga tha ki unke paas bhi dil hoga
tha na pata ki bina jasbaat ke ek gosh ka tukda hoga
kaise alag reh sakta hun apni chahat se main
ab hogie yahi baat ki, ab mere dil ki jagah pathr ka tukda hoga

ab toh inteha hogi hai mere bardaasht ki
thi dil mein ek aas, ki khalegi kabhi toh kami unko is insaan ki
abhi tak toh maut ko bhi rok rakha tha unke liye
PAR KABHI TOH NIKAL HE JAYEGI JAAN UNKE IS INSAAN KI...

Sunday, October 14, 2012

Oo saari saari raat main teri yaad mein jaga...





Oo saari saari raat main teri yaad mein jaga
khayal bhi na aaya is dil mein koi dooja
tasveer teri dekhta raha sari raat
ki laga mujhe, "yeh toh hai koi ek nashaa"

i got lost in those alluring eyes
seeing them once, my eyes always denies
theres sumthing which i cant explain
as if, for my soul you are power supplies

i love your that childish nautre
that always make my heart rupture
what i always desire is
"you are mine " that i can ever clamour

Oo saari saari raat main teri yaad mein jaga

how do i tell you
i love you  so much 
it is soo nobel
not even a desire to touch

felt never as such before
indeed u had changed this boor
i never tried to do this 
but it has so much extended, now this is fore


tasveer teri dekhta raha sari raat
ki laga mujhe, "yeh toh hai koi ek nashaa".........

Friday, October 5, 2012

hai kitni mohabat yeh kaise bataoon....



hai kitni mohabat yeh kaise bataoon
hai dil mein mere kya, yeh kaise dikh laoon
jo maan betha hai dil tujhe
hai na woh saach, yeh kaise ise sumjhaoon

un aankhoo mein is kadar kho jata hun main
ki teri baatein nahi sumjh pata hun main
jo dekhta hun tujhe kush
toh beintaah kush ho jata hun main

woh surat chand sa mutaqbiq lage mujhe
jo reshmi zulfeon ke baadaloon mein chupa dikhe
un badaloon ke beech se 
kabhi-kabhi chup-chup kar woh najme bhi dekhe mujhe 

ki, hai kitni mohabat yeh kasie bataoon..

woh baaton mein nadani aisie
jo na dekhi masoomiyat kabhi aisie
sunkar ek masoom ne bhi kaha mujhse
sach mein, na dikhie masoomiyat kabhi aise 

woh gaalon ki gulabi
woh aankhe uski sharabi
ki koi bhi kahe de
khuda ne ise banane mein, na chodi kasar zara si

hai kitni mohabat yeh kaise bataoon
hai dil mein mere kya, yeh kaise dikh laoon.............

Saturday, September 29, 2012

itne mudadaat ke baad dekha hai unhe...........




after......1 yr 3 months 27 days 3 hr 

itne mudadaat ke baad dekha hai unhe
hai ek ajab si kash-m-kash ki kya kahu unhe
hai tajub apni kismat pe hume
ki, itna kuch hone par bhi aaj asliyat mein dekha hai unhe

itne din unke tasveero ke sahare he toh jiya hun
kuch poorani aawaz sun kar hasa hun
kyun laae hai zindagi aaj unhe samne 
ki, aaj bus bebasie se unhe main dekhta hun

hai baaton ka sehlaab sene mein mere 
kaise bataun kaise jiya hun itne din main tere
aaj toh us khuda si bhi khawish ki 
dekh lun kuch pal aur unhe, kash yeh waqt yahi par tdhere

hai khawish ki unhe seene se laga lun
un haatho ko humesha ke liye tham lun
un nigahoon mein khud ko humesha ke liye kho dun
halak tak ek baat ruki hai
na jao humse dorr, yeh main unse kaise kahun

zindagi ki sachi se waakif hun main
isliye toh tujhse dorr rehta hun main
na aao is kadar zindagi mein mere fir
ki tujhe is kaynaat se cheen lunga main

aise na chate hue bhi har waqt tere pass aaunga
lekin ek dost ki tarah sath tere na reh paunga
hai badla hai khud ko itni mushkil se maine
ki is baar chah ke bhi khud ko badal na paunga.....

Saturday, September 22, 2012

meri saanson se jaise bikhar jatein hai phoolon ke ye rang...



meri saanson se jaise bikhar jatein hai phoolon ke ye rang
kash main bhi teri chahat mein bikhar jata to acha hota
maine to tham rakha to kud ko tere liye
bas mera waqt gujar jata to acha hota

meri majboori thi ki akela rha tha 
kash kisi manzil se humsafar mil jata to acha tha
kash main bhi in gulab ki pankhurio ki trah bikhar jata to acha tha....

Friday, September 21, 2012

aakhir main ek dhua hun....



aakhir main ek dhua hun
hawa mein mil jaunga
jo chaho chuna mujhe
toh, ban khushboo tumhare hatho mein bas jaunga

jo laao gaye shak ki aag mujh tak
mil kar hawa mein humesha ke liye kho jaunga
hun main pyaar ka pyaasa
ki zara si chaahat se, tujhme he sama jaunga

aakhir main ek dhua hun, hawa me mil jaunga

ban kar tera saya humesha tere sath chala hun
ki ab akele khud se bhi na chal paunga
hai ek zuban ki bedi kadamo mein mere
ki, kayamat tak tujhse na dorr ja paunga

yun shak ki aag se seemat sa gaya hun
ki ab sath na tere reh paunga
muskaan ki hawa se ab tak sath raha hun
ab shak ki nazroo se na jee paunga

hai na is sawla ka koi jawab 
ki, kush dekh tujhe khud se kush ho jaunga

aakhir mein ek dhua he toh hun, jo hawa mein ek din mil jaunga.....