Thursday, December 29, 2011

yunhe waqt guzar jaega.....


yunhe waqt guzar jaega
hai koi yaad jo dil mein kahin dafan ho jaega
jo khawish hai aaj, woh toh bus
seene mein ek khawab ke tarah reh jaega..


ek khawab lagta hai woh bita hua kal
jo jiya hai maine tere sang har ek pal
sumbhal ke rakha hai un yaadon, ki
un yaadon ke sahare he toh jina hai mujhe ab saare pal..


ek pal laga ki tu mera ho jaega
yeh gum bhi tere aane se dorr ho jaega
jo jaoge meri zindagi se
na jane kaise yeh dil reh paega..


yun teri chahat kabhi kam na hogie
zindagi mein kahin teri humesha kami hogie
har woh mumkin koshish kush rehne ki hogie
par, phir bhi tera bina woh kushi kabhi na hogie..


yeh tasvire he mera sahara hai 
ki inme mein har pal tujhe apne sath paya hai
dekh inhe ek sawal zahen mein aya hai
kya kabhi kisi ne apni mohabat ko haqeeqat mein paya hai..


yun na jao meri zindagi se is kadar
kahan jaunga is duniya mein tere begair
kahin bhi jaun bus ek sawal sataega
ki kya tu mere bina yun kush reh paega....

yeh gustakh nazare hain.....


yeh gustakh nazare hain jo kabhi manti nahi hain
na chahte hue bhi unki tasveer dekha karti hain
jo sumjhau, ki tasveer dekhne se kya hoga
ek askh samne laa kar yeh puchti hain- KYA ISKE BINA, TERA JEENA HOGA..


kuch baatein nazaroon se kahin hai
kuch baatein dil mein dabi hai
chaha tha har baat izhaar karo
par yeh bhul gaya tha ki, meri kismat mere sath nahi hai..


yun guzarte hue waqt ke sath meri yaad tere dil se chale jaegie
kuch baatein hain meri jo tere aks ke sath jor jaegie
sab bhul kar bus yunhe muskurate rehna ki
har din muskurata hua dekh tujhe, meri rooh kush ho jaegie..




yeh gustakh nazare hain jo kabhi manti nahi hain.....

Thursday, December 15, 2011

na jane kya hai tujhme...


na jane kya hai tujhme
jo, har lamhe ke sath utar rha rooh mein
chah ke bhi dorr nai kar paa rha tujhe
soachne pe lage, zindagi chor rahi mujhe


us awaz ko sun kar zinda hun main
har waqt sunne ko betaab hun main
yeh toh bus kuch din ka sahara hai
jo ho jaoge kisi ke, toh na jane kya karunga main


woh teri khamoshi mein bhi mujhe sukoon mile
woh saanse soonkar, yeh meri dhadkan chale
zarorat nahi mujhe tere kisi alfaz ki
woh teri mojudagi ke ehsas se, ek alag se duniya lage...


na jane kya hai tujhme.....

Sunday, November 20, 2011

khawbo ke saye main ek alag duniya hai meri...

khawbo ke saye main ek alag duniya hai meri
jaha keh saku ki sirf or sirf tu hai meri
na jagao mujhe is kawb se ki
yeh bus ek khawab nahi zindagi hai meri..

un neghaon se ek bhi askh na nikalne dun
us chehre pe muskan har lamha rakh sakun
jo yeh duniya hai teri duniya ke aage
use apni nazaro se tujhe dikha sakun..

bahon main tham kar tujhe khud se jod sakun
tere har ek khawab ko haqeeqat main tabdel kar sakun
bus ek dil-e-khawsih rehti hai har bar ki
TU HAI BUS MERI, yeh sare zamane se bol sakun..

kuch pal k liye laga ki dorr ho jaunga tujhse
na kabhi sath mein khud ko jod paunga tujhse
in khauf k saye mein bitaye hain maine kuch pal
bus yeh sumjha ki, tere bina nahi reh paunga main ek bhi pal...

khawbo ke saye main ek alag duniya hai meri.....

Thursday, November 10, 2011

ek khawab reh jaega....

ek khawab reh jaega teri un aankho mein khud ko dekhna
in hatho main tere nazuk hatho ko thamna
ek khawab reh jaega bekhauf duniya ki nazar se
un negahon main khud ko duba kar kho jana..

ek khawab reh jaega unki masumeyat ko dekhte rehna
toh un labhoo se har waqt mera naam soonna
un reshami zulfon pe azaab daalna
jo us maah-wash chere pe aakar unhe sataati hain...

ek khawab reh jaega un aankho ko chumna
teri zulfon k saaye mein soo jana
subah se sar-e-shaam tak unhe nazro k saamne rakhna
sote hue unke chere se, un gustak zulfon ko dorr karna..

ek khawab reh jaega unhe in bahon me duniya se chupana
seene se laga kar yeh batna ki in dhadkano mein kon hai
ek khawab reh jaega us pe-shani ko chum kar yeh batana ki
tu kuch or nahi khuda ka noor hai..

ek khawab reh jaega ki tujhe sabse chupa kar le jau kahin
na ho koi bandishe or na koi sazishe kahin
ek khawab reh jaega soonna ki aaj maine teri mohabat ko pechana
ki yeh toh aashqui hai na ki mujhe badnaam karna.....

haqeeqat toh yahi hai ki, esa kuch bhi na hoga
ki yeh toh bus ek khawab hai, bus ek khawab he reh jaega........

Thursday, September 8, 2011

aaj fir itne muddat ke baad....



un ki zulfon k saye mein yeh zindagi guzarne ko jee chata hai
un aankho mein humesha k liye doob jane ko jee jata hai
woh bachpana unka, woh nazakat, woh shararat...
aaj fir itne muddat ke baad
unki zuban se apna naam sunne ko jee chata hai.....

majlish-e-zamane se rubaru hone ko jee chata hai

par hujoom mein bhi bus woh he chehra yeh dil talaash karta hai
zamane bhar ki aankho se guzarte hain hum
lakin jo un aankhon mein mila, woh abhi tak talash karte hain hum..

woh batoon se he dil me utarna unka

woh naadani se roothna unka..
un aab-e-talkh k bare mein kya kahin,
jine dekh farishte bhi, kuch bhi karne ke liye kahin....

woh teri muskan, jinke liye kuch bhi kar jau main

woh teri saadahgi, jo kisi aur mein na dekh pau main..
har guzarte lamhe k sath rooh mein utar jana tera
toh woh zuban pe har lamha naam aana tera....

aaj fir itne muddat ke baad

unki zuban se apna naam sunne ko jee chata hai.....



meri har bhul ko woh pyar se saheeh karna tera

toh kabhi pyaar se us bhul pe maarna tera..
aaj is mehfil mein beth k bhi yaad aata hai
woh mujh pe kabhi-kabhi hukum chalna tera...

un galtiyon pe mujhe pe chillana tera

toh kabhi late aane pe pyar se CHOLY bolna tera
har mushkil mein mere sath rehna tera
or woh hardam mujhpe nazar rakhna tera...

kabhi yeh sab yaad kar soachta hun main

ki waqt k sath kitna khud ko badalu main
kuch bhi kar jau Haqeeqat badal nahi sakta
ki in baaton ko bhul k kaise jee paunga main...


aaj, un ki zulfon k saye mein yeh zindagi guzarne ko jee chata hai

un aankho mein humesha k liye doob jane ko jee jata hai
aaj fir itne muddat ke baad..
unki zuban se apna naam sunne ko jee chata hai.....

Saturday, September 3, 2011

Har saye mein tera he aks nazar aa rha hai...

Har saye mein tera he aks nazar aa rha hai,
na jane khuda mujh pe kaisa sitam dhaa rha hai...
dhadkano ko kya kahu,
in sitaro mein bhi tera naam dikh rha hai...

Har muskan k peche teri yaad chupi hai,
dil ki har ek dhadkan bus ek baat keh rahi hai..
na jane kab sikhange jina tumre bin,
ki har dua bus yahi talab kar rahi hai...

teri chahat ka hai jo jonoon, kisi or kaam mein nahi,,
us muskan mein woh baat hai, jo kisi aawe-shabab mein nahi...
tamaam koshisho se jo jhute na woh nasha,,
woh teri aankho mein hai, mehkhane k kisi jaam mein nahi...

Monday, August 22, 2011

Har waqt k sath badal rahe hain hum.......

har waqt k sath badal rahe hain hum
teri aashiqui ko bhul rahe hain hum
jeena ho rah hai mushkil tumbin har lamha
ki ab har lamhe k sath marhoom ho rahe hai hum...

har mujassme mein tera he aks hai
meri negahoon mein toh teri mohabat ka he noor hai
zindagi us morh par le aae hai hume
ki ab toh tere bin har ek saas bhi betaasir hai.....

har yaad se dorr bhagte rehte hain hum
apne sayae se he ghabrate hain hum
kahin koi yaad na reh jae is dil mein
islyie bina dhadkano k jina sikh rahe hain hum.......
.

Friday, August 12, 2011

WOH GUZARE HUE LAMHE..... WOH BEETE HUE DIN.......

aaj akele is kamre mein barish ko dekh
woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhiaankho mein asu le aatein hain...

har lamha jo bitaya hai 2m log k sath
aaj woh lamhe yaadein aate hain
kaise bayan kare afsane dosti k.......
ki yeh lafzo mein nahi aankon se bayan hote hain
jab dekha tha 2me pehli bar
woh nazare yaadein aatein hain..
aaj bhi log pagal kehte hain husta hua dekh mujhe
kaise kahu ki mujhe toh mere dost k baatein yaad aatein hain......
kabhi laga na tha itne kareeb ho jaenge
kaise sumjhe is dil ko hum
lakh duayein kar le magar
ab mushkil se he sath beth paenge hum....
woh choti c baat p ek ka naraz hona
ek ko sumjhane k chakar mein sab ka rooth jana
abhi ek peher bhi na bita tha
ki mobile pe sorry k msg ki barsat aa jana.....

aaj akele is kamre mein barish ko dekh
woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhiaankho mein asu le aatein hain...



har sham ko cricket ki tayareian karna
subah se he sab ko yaad dilate rehna
bus ek bat or ball le kar medan mein utrna
na khel aate hue bhi zamane bhar ko harate rehna.....
balling k liye har koi marta tha
baat aati batting ki toh
har koi ek dusre ko kosta tha......
keepering k liye ladte the hum
ho agar baller sandy ya desai toh darte the hum
jab baat aati batting ki toh
adi or santosh se bhi kabhi-kabhi darte the hum
ho jab saurav ya sanjeeb gusa toh ground chor bagte the hum
BUS ek sutta pila kar baat ko suljhate the hum......


aaj akele is kamre mein barish ko dekh
woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhiaankho mein asu le aatein hain...



rooz collg mein late se jana
teacher agar puche to roz ek naya bahana.....
ese toh har koi alag tha
par baat aati jab koi pareshani ya kaam ki
sab koi ek sath hota tha.....
har kaam ko asani se karte the hum
ho agar koi lafda toh use bhi dekh lete the hum
kehne ko toh sab normal the hum
par apne branch k badshah the hum.....
har choti c baat ko njoy karte the
ho koi aasu toh use bhi
muskurahat mein tabdil kar dete the.....

woh har brthdy celebrate karna
na sur taal k woh brthdy song gana
har cake khane k baad
har kisi ka roshan baaba ka goon-gaan gaana......
woh choclate bhi yaad aata hai
jo har kisi ko bikhari banata tha
ek hath mein hote hue bhi
dusre k liye har koi bacha ban jata tha.......


aaj akele is kamre mein barish ko dekh
woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhi aankho mein asu le aatein hain.....



woh xam ka time jab aata tha
xerox center wala bhi pareshan ho jata tha
mini-mini kar k har koi shor machata tha
teacher jab pakde toh apna nahi, har koi dusre ka bata ta tha
dekh shivam-shatanu ko har teacher pareshan ho jata tha
woh natesh or ishaan ko late aata dekh har koi hasta tha......
xam chor hum kabhi photo session kiya karte the
nahi toh use bhi kabhi chor, dekh kisi ko aanhe bhara karte the
likhte dekh anin or deep ko hum ghabra jate the
6 mein se bus 2 solve karte the
koi-koi toh 6 solve karne p bhi tension lete the......

bahar nikal apni mahanta bayan karte the
waise xam dene k baad bhi hectic ho jate the
tension hatane sab gopi k yaha bagte the
2-2 rupiye jor kar kabhi, ek sutta liya karte the
bus us ek sutte se he sab kush ho liya karte the.....
result k din apna chor dost ka pehle dekhte the
ho sab thik toh din mein sab k sath njoy karte the
nahi toh mehkhane mein jaa k roo liya karte the
or hua toh aate waqt kisi ko thok bhi diya karte the.....

aaj akele is kamre mein barish ko dekh
woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhi aankho mein asu le aatein hain...


chai-chai bol k woh teacher ko pareshna karna
woh kam lage toh, paper ka plane udana
har kisi ka last bench p apna dj chalana
toh kisi ka grnl cpmlete karna....
ho koi maal teacher toh uska photo lena
baat-baat mein use apne pass bulana
us mein bhi maan na lage toh
dur beth apni chahhat ko niharte rehna.......
har koi chupke se kisi ki tasver leta tha
toh koi studies mein he mashroof rehta tha
kitna mushkil tha kisi ka kisi se kehna
mat jao chor k ki, ab mushkil hai 2m bin rehna.......

mausam badle ya semster badle
par ishaan ka wahi slippers mein aana
woh bikram k bhi andas nerale
kisi-kisi viva mein beer pe k aana.....
jab har koi tension leta tha
abhik apne jhokes se sab ko hasata tha
practical bhi mast dete the
apna chor dost ka reading likhte the.....
koi kuch bhi bole hume na sunna tha
hume toh bus sabke sath rehna tha
sab me common baat yahi thi ki
har kisi ko kisi k dil mein rehna tha.....


woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhi aankho mein asu le aatein hain...


bhale koi kitna bhi shareef dikhta tha
but uske pass bhi ek toh reliance wala phone rehta tha
rakhte the sab apne status single but
har koi kisi n kisi se mohabat karta tha.....
woh raat bhar party karna
toh kabhi santosh ka har waqt 29 k liye challange karna
motka sab mein perfect tha jaise
c2 k her accident hote he just l2 ka phone aana.....
adi dikhne mein lagta tha kam hai
par jab baat aati f.b ki
toh sab kehte the BHAI AADMI MEIN DUM HAI......
har ganesh chaturthi p potesh k yaha jaana
or motke ko phasa k uska video banana
namoomkin hai bina darr k rehna
jaise i.t ko bina pandey k pora kehna.......
in badsah ki badshai toh dekhye
jab aate toh khamoshi cha jati thi
sab ko kehte DUM HAI TOH HUMARE SAMNE BOLYIE
par yeh c king k samne kisi k nahi chalti thi.....


woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhi aankho mein asu le aatein hain...



har shaam jab sab k dil maaues hote the
khud se he sab dinshaw pahuchte the
yaad aate hain aaj bhi woh din
jab arpit sir or freak group humare sath hote the......
woh har kisi ka sami k ghar jaana
adorable dolce ki pyari aadein dekhna
or fir kabhi jao toh
woh dolce ka pyar se hume recieve karna......
har festival sath mein celebrate karte the
roshan baba k new-new avtar dekha karte the
kuch toh baat thi unme
jo har kisi p jaan chidkate the.....
woh cristmas p church jaana
toh saraswati puja p pandal lagana
har visarjan mein yahi hota tha
humko toh dusre k kadpde fadna hota tha.......

milne ka kisi se banate the har roz koi bahana
nit garden ya chahe pade futala jaana............
agar kam lagte the yeh sath me rehne k pal
dekh sab sumjhte the humare mangemnt guru har pal
kabhi trip toh kabhi leeti jaise evnt rakte the
kuch bhi karke hasin pal diya karte the.........
barish mein woh driving p jaana
woh saurav k har shot p ambajhari ka sultan bulana
ho jab baat techi ki
dekh pritam or sanjeeb ko sab ka kehna
woh dekho gadget ka dewana.......


aaj akele is kamre mein barish ko dekh
woh din yaad aate hain..
kabhi laboo p hasi toh
kabhi aankho mein asu le aatein hain.....



aakhri saal he sab kyun hota hai
koi bahot pass toh koi bahot durr ho jata hai
cha k bhi sath mein nahi rakh sakte kisi ko
dusre k jaisa kyun nahi hai apna naseeb
jaate jaate har koi yahi kyun kehta hai.....
hai yakeen zindagi fir woh morh laegi
mujhe mere yaar se zaroor milwaegi
jo hua use badal toh nai sakta mai
par tere bina woh wali kushi kabhi nai aaegi.....
chata hun le chalu tujhe mein kahin dur
jaha na koi bandisho se ho tu majboor
par yeh cheez shayad is zindagi mein mumkin nahi
kabhi zuban toh kabhi wadoo se hai hum majboor......
bus ek baat kehta hun mere dosto..
rahoge gaye selfish toh kush rahoge
kiye jo kisi p zada bharosa toh kub faso gaye
na karna kabhi kisi se sachi mohabat
warna baad mein beta, uske jane p har rozz maro gaye......

ab toh dusro ki tarah har pal aage badna hai
ab toh hume aap k bager he rehna hai
har tasveer bus yeh yaad dilati hai
woh mehjabeen ladki fir na milegi..
kambaqt har cheez bus yeh ehsas krati hai....
 


bhulte jaenge hum sab kuch din p din
par hai koi jise yaad karenge har lamha har din
jee lo apni mohabat k sath har pal
kyun ki yeh sab jante hain ki laut ke na aaenge


WOH GUZARE HUE LAMHE....... WOH BEETE HUE DIN.......

Thursday, August 4, 2011

you taught me how to care, you taught me to be kind,
you showed me how to like someone,
you showed me how to love. But there’s one thing
you didn’t teach me and it really hurts more.
You didn’t teach me how to let you go....

Sunday, July 31, 2011

yaad aata hai mujhe har woh lamha.....

woh waqt ka tkaza, woh chandani raatein
teri awaz ko sune ko bekrar thin ye kane
bus ek aahat s hota tha jannat ka ehsaas
kaise kaho kitna tha mujhe tujhse pyaar

woh 11 bajne ka intazar karna
reliance ka sada hua phone lekar roome s dur bhagna
ek terrace k kone mein sidhe p let kar chandi ko dekhna
or tera woh pyaar s mera naam pukarna
yaad aata hai mujhe har woh lamha
tera nadani s mujhe pareshan karna

har baat ko meri shedaat s sunna tera
jaise har baat mein jawab dhundna tera
har pal yeh shak hota tha
ki kya tu bhi mujhse mohabat karta tha
tere nakhre k liye taraste the hum
na jane kis ada p tere marte the hum

har baat mein bus yahi to kehna chata tha
ki teri chaht mein mera khuda basta tha
teri har khawish ko sunna
or agle din use hakeqt mein tabdel karna
yaad aata hai mujhe har woh lamha
tera nadani s mujhe pareshan karna

har gusrte waqt k sath teri aahen suna
bus yeh dar tha
kahin ab na kahe-ab bus karo kuch kehna
har alfaz the mere sache
har wade the mere pure pake

agle din tujhe nazre dhunti thi
tere ek jhalak ko tarste thi
woh noorani chera jab saamne aata tha
na jane kyun kambaqt dil bahot ghabrata tha
tujhse nazar mialne ki koshish karna
or fir tera har baar ki tarah sharmana
yaad aata hai mujhe har woh lamha
tera nadani s mujhe pareshan karna

har mushkil mein tera mere sath rehna
aur teri mojudagi s mere dar ka bhag jaana
har kaam s pehle tujhe dekhna chata tha
teri zuban s ek baar apna naam suna chata tha

yaad aata hai mujhe har woh lamha
tera nadani s mujhe pareshan karna

 
agle raat fir wahi kaam karna
aur pechle din ki sari baatein yaad karna
tera mujh s har baat p xplanation mangna
aur tujhe sumjhane ki koshish mein baat ko mera aur bigdna
har ek sawal yahi dar lagata tha
kahin aaj sab khatam na ho jae yeh ehsaas karata tha

guzrte waqt k sath 2m dur jate rahe
or har baat k sath hum apni maut k kareeb jate rahe
har duwa m tujhe yaad kiya
mere naseeb n bhi mujh s ganda mazak kiya
kasam khai ki zakham dene wale ko dur kar denge
kya pata tha woh zakham hum he de denge
jo kaha tha woh nibhana pada
mujhe apni rooh ko khud s dur karna pada


aaj bhi yaad hai mujhe woh din
tera mujhse us bekar ki photo p ladna
kaise kahe kya hain hum tumare bin
bahot bhari pada mujhe woh mohabat ka ishar karna
kabhi lagta tha ki iqraar hai
to kabhi pura inkaar hai
kaise kehte ki ab jina tum bin dushwar hai
har saas p to bus ab tera he naam hai

na khud ko kabhi sahi sabit hone denge
na gum ko tere kareeb hone denge
har kaminey ka baap banege
par tujhe apni mohabat ka ehsas na hone denge
ab na baatein hai
or na zindagi mein koi chandani raatein hai
ab har samaa badla hai
or yeh insaan aap k liye begana hai


ab toh bus yahi fsana hai
mujhe toh apni maut ka intazar karna hai
har guzarte waqt k sath hume bhul jaoge
hum jasie insan ko yaad kar k kya paoge
jo chez hume bahot bhaie hai
woh to tere chehre ki smile hai
is cheez ko na kabhi dur hone dena hai
or is k liye mujhe khud ko dur karna hai

yaad aata hai mujhe har woh lamha
tera nadani s mujhe pareshan karna....

Thursday, July 28, 2011

khwaisho mein bus ek khwaish to ki thi......








khwaisho mein bus ek khwaish to ki thi
tujhe pane ki ek jostuju to ki thi
sumjh rha hun aaj tere alfaz dekh kar
ki shayad tune to mujh se dur jane ki aarzo ki thi
thodi takleef hoti hai mujhe tera rwiya dekh kar
kya maine itni bhi buri guzarish ki thi
har woh lamha jo tere sath bitya hai
use fir bitane ki ek tamna ki thi
kuch bhi kar jau us din ko wapas lane k liye
jis din mein tujhe pane ki koshish ki thi
maine to bus
khwaisho mein bus ek khwaish to ki thi


har yaad ko bhulane ki koshish ki thi
par har yaad mein tu he toh hoti thi
kuch bhi kar lun bhula nahi sakta kuch bato ko
kyun ki
har baat mein to bus baat bhi teri hoti thi
kya tha tera mujh p yakeen
yeh soach k taklif mujhe hoti thi
jo kisi gair ki baat ko tu aasani s maan leti thi
na jane tune mujh se kesi dosti ki thi
maine to bus
khwaisho mein bus ek khwaish to ki thi

jo koi tujhe chue toh taklif mujhe hoti thi
hath kat dun uske esi meri khwaish hoti thi
jo tu chae woh tujhe mile aesi to maine duayen ki thi
phir bhi na jane kyun baad mein mujhe takleef hoti thi
shayad meri mohabbat mein kami thi
jo tu mere sath na hoti thi
hum to bus dekh k kush the ki
jo tuhje kush rakhe tu us k sath to hoti thi
sab kuch itna milta tha
chalne ka soachta mein tha, kadam tu uthati thi
kapde jo pehno na jane kaise
color bhi toh tu bhi wahi pehnti thi
maine to bus
khwaisho mein bus ek khwaish to ki thi

na jane kya maine galti ki thi
bus ek tasveer k size s
apni chahat jatane ki koshish ki thi
na janne tu ne kya sumjha
tune toh khud ki tohin sumjh lee thi
tu nai jani us din mujh p kya beti thi
kya mujh p itna he yakeen ki thi
sab kuch bolna chata tha
par kya karu meri zuban mere aage khadi thi
maine to bus
khwaisho mein bus ek khwaish to ki thi...

garon ki bato p toh tune yakeen ki thi
na jane kya tha tune mujhe sumjha
ki itne din mere sath rahi thi
kya ek jhot ki saza itni badi thi
ki us jhot s toh
maine tujhe jaane ki koshish ki thi
dost bhi mujhe zindagi ne ek esi di thi
jis ne to meri zindagi he mujhse le lee thi
teri surat mein maine fir zindagi ko paya
or maine pehli baar kisi s mohabat ki thi
maine to bus
khwaisho mein bus ek khwaish to ki thi...

maine toh sab kuch ki khwaish nahi ki thi
bus tu hasti rahe bus yeh dua ki thi
na tu sumjhe mujhe kabhi, har baar maine koshih ki thi
kush hun yeh dekh k ki
khuda n yeh dua bhi kubul ki thi
bahot milte hain zindagi k safar mein log mujhe
judna chate hai humse esi khwaish unhone zahir ki thi
na jane kya dekha is kambaqt dil ne
ki meri rooh to bus tu he ban gayi thi

khuda kare yeh nafrat aesi bani rahe
ki ab humne toh aesi duayen ki thi
jo tha mujhe chaye woh toh teri rooh thi
jism mein to tere hume zara c bhi khwaish nahi thi
kuch nai raha ab kush hone k liye
kyun ki meri zindagi toh mujh s roothi padi thi
kya khata thi meri
ki bus meine tujh se sache dil s mohabat ki thi
dhoka na dun kisi or rishte k naam p
esi to maine koshish ki thi

bus yahi baat reh gaye ab zindagi mein ki
maine to bus
khwaisho mein bus ek khwaish to ki thi......