Wednesday, April 25, 2012


dekh kuch cheezo ko aankho mein nami se hoti hai
us nami mein kisi ki halki se tasveer dikhti hai
jo chaha us tasveer ko dekhna 
toh, zindagi sab kuch saaf kar mujh pe hasti hai


bebasi se zindagi ko dekhta hun
woh mujhse kehti hai, hai itni mohabat kyun
hue khamosh zindagi, jab poocha
aakhir main us farishte ko bholu kyun


aakhir zindagi har jati hai
chr mujhe tanha aage nikal jati hai
rakhta hun muskan laboo pe
fir bhi logoo ko meri aankho mein sachi nazar aajati hai


kaha yeh kuch nahi raaste ki dhool hai
hai na kisi se mohabat yeh mujhe kobool hai
par kuch haseel na hua
jaana, meri chahat ko khud ki shedat pe maghroor hai


jaana hai ki yeh zamana bada bedardi hai
jise chao use he karta humse dorr hai
manga us farishte ko maine un se
aakhir mein khuda ne kaha, tu toh bas ek insaan he hai......

No comments:

Post a Comment