Wednesday, April 25, 2012


ishq ke ikhalasmein khoye hain is kadar
talash karte hain khud ko kabhi-kabhi dar-badar
sumjhate hain khud ko har lamha 
ki hoga na woh mera kabhi bhi muqaddar


hai kitni mohabat kasie unhe zahir karein
zahir ke baad ka anjam soach ke yeh dil dare
yun toh khud se dorr kiya hai unhe
pa na jane kyun har lamha unki yaad mein yeh dil jale


haqeeqat ki sihae se kuch likha dekha hai kahin
jo hoga na haseel, use mehsoos kiya hain kahin
darta hun kuch alfazo ko dekh
ki fir se kahin cheen na le mujhse yeh zindagi kahin


aksar kuch yaadhein unki hasati hain
na jane kyun aaj bhi humko yaad aati hain
rehti hai muskan laboo pe
fir bhi na jane, hsaakar hum ko rola jati hain....

No comments:

Post a Comment