aakhri baar milna zaroori kyun hota hai
tujhe dorr jate dekh dil har bar rota hai
nafrat hoti hai khud se
jab bhi teri aankho mein, ek bhi askh yeh dil dekhta hai
yeh askhno ko dekh dil mein ek selabh utha hai
na kar paya tere khatir kuch yeh dil janta hai
hai aaj mere laboo pe khamoshi
kyun ki meri har mazboori toh tu janta hai
yeh andhere raste mein kho jao esi khawish hoti hai
jo hosh mein na kabhi aau esi koshish rehti hai
na hai ab khawish us manzil ki
jis manzil pe kamyabi tere begair milti hai
aata hai zehen mein aaj yahi sawal ki
aakhri baar milna zaroori kyun hota hai...
aaj in hawao mein bhi ek nami see hai
aaj laga jaise ki yeh hawa bhi rooti hai
dekh un namm aankho ko yeh jana ki
jo baat labzo se na kahi woh tune aankho se kahi hai
tere aankho se un askhno ko poochna chata tha
tujhe apne sath us duniya se dorr le jana chata tha
dorr dekh ek kone mein, yun laga ki
meri majboori dekh, shaitan mujh pe hass rha tha
poocha usne ki is insaniyat se tune hai kya paya
dorr se fir pass aakar tune hai hardam use roolaya
uska ek sawal mujhe hosh me lata hai, ki
kya yeh sach ke raste se tu use hassil kar paya
meri askh-bar aankhe dekh, huss ke usne fir poocha
aakhri baar milna zaroori kyun hota hai.....
kitni aasani se keh dete hain woh humse
kushi ke sath rehlenge woh dorr humse
ki jiya nahi hai mere begair ek bhi lamha
kya jiyoge yeh zindagi dorr reh kar humse..
yeh muskan ke sahare chupao na us gum ko
jo baat hai aaj zahir kar do sab ko
yun waqt ke sath takleef kahi kam na hogie
yeh alfazoo ke zariye gomraah na karo hum ko...
na jane kitne khawab sajaye hai maine tere sangh
jiya hai tune aaj tak har ek lamha bus mere sangh
is kayanat mein koi nahi hai tere kabil
na rahega tere bin meri zindagi mein ab koi rangh...
soacha na tha ki dorr ho jaoge mujhse
yun toh manga tha tujhe har dua pe
fir na jane kya khata hue humse
jo paa na sake haq tum pe...
kitni aasani se keh dete hain woh humse....
dekh kuch tasvero ko main aaj bhi roota hun
jin mein sath main tere kahin bhi hota hun
hota hai fakr apni mohabat ki shiddat pe mujhe
jab tere alfaazo mein mere kuch alfaazo ko dekhta hun..
yeh zamane ke rewazo ki wajah se chorna pada tujhe
jin logo ne banaye hain yeh siqaafat, unse nafrat hai mujhe
kehte hain sab hota hai kisi ki marzi se
kabhi-kabhi toh us yazdaan se bhi nafrat hoti hai mujhe..
yun toh likha hai kahin ki, unki rehmat sachai ke sath hoti hai
jo chala hun us raste pe toh na jane har bar mujhe he takleef hoti hai
kush dekh kuch insaano ko yeh jana hai maine ki
kismat toh humesha be-imaan ke sath hoti hai..
yun sach ka sath dekar kya paya hai maine
reh kar apni zuban pe kayam, khoya tujhe hai maine
jo na ho sakega haseel woh kabhi
us raste ko intikhaab kiya hai maine
tha ilm mujhe ki main ek budzil keh launga
jo paa na saka apni mohabat woh shaks keh launga
jo thi bus yahi koshish meri ki
is zamane ki wajah se baad mein tujhe roota hua main dekh na paunga..
baad mushkilo se khud se dorr kiya hai tujhe
jo kiya maine dekh kuch logo ko, woh thik lagta hai mujhe
yeh zaroori nahi ki main kush hun ya nahi
tere laboo pe muskan dekh, ek alag sa sukoon milta hai mujhe.....
hai koi khas jise kabhi yaad kar leta hun
aati hai jab teri yaad toh muskura leta hun
yeh toh shukr hai is shayari ka jo
dil ki baat ko alfaazo mein bayan kar leta hun...
yun toh teri yaad aksar muskan laati hai
tanhai mein bhi kisi ke sath ka ehsas karati hai
lakin yeh sath na hone ki sachi
aksar mere aankho mein ek askh le aati hai......
yun madhoshi mein bhi unka khayal aata hai
hume unse zada khud pe itaab aata hai
takleef isi baat se rehti hai har bar ki
jise bhulne ke liye pitye hain, wahi har bar yaad aata hai..
yeh raat ki sard hawae zehen mein ek khayal lati hai
in bahoon mein tujhe thamne ki khawish hoti hai
kush hun in hawao ko mehsus kar ke ki
kahin toh yeh hawaein tujhe bhi jhuti hai..
dekh is chandni ko, woh raat yaad aati hai
jo bitaya tha tere sath lamha, uski yaad dilati hai
jo dekha is chand ko maine, ki
yeh chandani mujhe us haatif ka chehra dikhati hai..
yun madhoshi mein bhi unka khayal aata hai......
u r the reason aftr a decade i smiled again
u r the inspiration dat i belived sum1 again
u r the one who made me sumhow dream again
u r the one i miss everyday NOW and THEN....
u r the one 4 whom i changed a lot
u r the one for whom i prayed a lot
u r the one for whom i cried a lot
how do i tell u dat i miss u a lot...
may be i lack my words to say wat i really feel
may be i take more time to overcome or heal
it may my words r less but feelings r true
every moment a bit more then before I LOVE YOU.....
dekh kisi ko sath mein
na jane kyun aaj bhi takleef hoti hai..
hai nahi koi khas tera
yeh zindagi kyun nahi sumjhti hai..
yun kyun hoojum mein reh kar bhi
har waqt khamoshi si lagti hai..
sumjhya har tarike se is dil ko
fir bhi, mere alfaz mein kahin woh aaj bhi dikhti hai..
hain kai sawal is dimaagh ko is dil se
pocho toh milta hai jawab badi mushkil se..
yun dekh kisi ki tasveer har lamha, tujhe kya kushi milti hai
jinhe dekh har bar yeh aankhe naam ho jati hai..
jaana hai main har baar bus ek baat ki
uski tasveer mein toh meri zindagi basti hai......
aaj ek khawab jiya hai maine
ek arse ke baad, in dhadkano ko mehsus kiya hai maine
dekh in sitaro ko,
hai koi sunta duayein, yeh aaj jana hai maine...
yun mehkhane mein jane ka shauk nahi
jaam ko hath mein pakdne ka magroor nahi
hum toh bus ek baat se darte hain ki
khawabo ke jahan se haqeqat mein aajae na kahin....
har ek shaks yeh baat janta hai
yeh waqt kabhi kisi ke liye nahi rukta hai
yeh kyun nahi sumjhta kabhi-kabhi koi
apni mohabat ke sath kuch waqt, bahot naseeb walo ko milta hai....
yun choti se baat pe rooth te hain kuch log
koi bekar ke shaks ke liye ladte hain har roz
dekh unhe kyun nahi sumjhte yeh log
jo, bus ek lamhe sath rehne ke liye dua karte hain har roz...
kush naseeb hain woh jinke paas unki mohabat hai
shayad yeh unpar kisi ki azmat hai
yeh soach, jiyo apni mohabat ke sath har ek lamha
ki 2mra naseeb kisi se ke naseeb se kahin beehtar hai...