aakhri baar milna zaroori kyun hota hai
tujhe dorr jate dekh dil har bar rota hai
nafrat hoti hai khud se
jab bhi teri aankho mein, ek bhi askh yeh dil dekhta hai
yeh askhno ko dekh dil mein ek selabh utha hai
na kar paya tere khatir kuch yeh dil janta hai
hai aaj mere laboo pe khamoshi
kyun ki meri har mazboori toh tu janta hai
yeh andhere raste mein kho jao esi khawish hoti hai
jo hosh mein na kabhi aau esi koshish rehti hai
na hai ab khawish us manzil ki
jis manzil pe kamyabi tere begair milti hai
aata hai zehen mein aaj yahi sawal ki
aakhri baar milna zaroori kyun hota hai...
aaj in hawao mein bhi ek nami see hai
aaj laga jaise ki yeh hawa bhi rooti hai
dekh un namm aankho ko yeh jana ki
jo baat labzo se na kahi woh tune aankho se kahi hai
tere aankho se un askhno ko poochna chata tha
tujhe apne sath us duniya se dorr le jana chata tha
dorr dekh ek kone mein, yun laga ki
meri majboori dekh, shaitan mujh pe hass rha tha
poocha usne ki is insaniyat se tune hai kya paya
dorr se fir pass aakar tune hai hardam use roolaya
uska ek sawal mujhe hosh me lata hai, ki
kya yeh sach ke raste se tu use hassil kar paya
meri askh-bar aankhe dekh, huss ke usne fir poocha
aakhri baar milna zaroori kyun hota hai.....
No comments:
Post a Comment