Friday, March 2, 2012

jo the na tum sangh, humne bhi ek khwab saja liya....




jo the na tum sath sangh, humne bhi ek khawab saja liya
har us khawab ko bhi apni zindagi ka aaiyana bana diya
har aaiyne mien thi jo aks, usko apna saya bana liya
har us saye mein jisme thi teri jhalak,usko dil mein apne chuppa diya


har us dhadkan jis me jhalak thi tumhari, use aapne aankho mein basa liya
aankho se nikle har us askh ko maine apne laboon par bichaa liya
jaane kya sabaab the mere jo, is kaafir ko hai tumne insaan bana diya
khud se nazar na mila saka to maine ek naya chehra laga liya


taqdeer se ladta kab tak aakhir usne bhi mujhe hara diya
zindagi mein tha reh gaya baaki kya, haar ki us aag mein khud ko hai maine jala liya...

No comments:

Post a Comment