yun izhare mohabat se darte hain hum
na chate hue bhi har roz, har lamha kisi ke liye marte hai hum
hai ek nasha sa tera mujhe
ki bus dekh unki tasveer har lamha jeete hai hum
guzarte waqt ke faro mein jhut rahe hain woh humse
ab teri in tasveero se bhi jhut rha hai sath mujhse
ki wahshat mein hai aaj yeh dil
kaise keh de unse ki, na hai ab toh mohabat tumse
yahi baat toh maine ab maan liya
woh na hoga mera kabhi, ise ab jaan liya
dekh use kush tasveero mein
main uski kushi ke sath jeena toh hai sikh liya
ibadate aashiqui mein humse kai khatein hue hain
jine soach yeh aankhe kai baar roie hain
jo badal na saku woh gunah kiye hain maine
ki aaj tumhe paa kar bhi kho diya hai maine
suna hai sachi mohabat ke raste nahi hai aasan
yun aaj chal kar us raste pe, hun main badnaam
dekh in lahoo bhare hatho ko,
yeh jaana ki, aakhir main bhi toh hun ek insaan
hai ek aas ki mera gunah shayad maaf hoga
bhul kar sab, koi b-qayamat mere sath hoga
yeh palke jab ek baar jhuk ke uthi
toh yeh jaana, ki yeh sab bus khawab mein hoga...
No comments:
Post a Comment