yeh zamane ke dastoor bhi ajeeb hote hain
kisi ko dorr toh kisi ko pass kar dete hain
jo manga tumhe unse
toh woh mujhe naa'samajh kehte hain
maang ke tumhe kya naa'samajhi hai kiya
tumse mil ke jasba-e-mohabat ko jaan liya
hun aaj main hairaas mein ki
manga ke tumhe maine kya koi gunah hai kiya
ki, hai aaj meri mohabat ka taqaazaa...
hai aaj hatho mein mere ek larzaan
zindagi ab lag rahi mujhe ek zindaan
na jane kya hoga tumhare bina
ki lag rha aaj sara zamana mujhe dushman
tere muskan dekh abtak jiya hun main
jo ho rahe dorr humse, toh kaise jiyunga main
dekh un logo ko
hoti hai khawish ki, aaj sab tabaah kar dun main..
kaise sumjhao is rooh ko ki
hai aaj teri mohabat ka taqaazaa.....
No comments:
Post a Comment